ishq minnat-kash-e-qaraar nahin
husn majboor-e-intizaar nahin
teri ranjish ki intiha maaloom
hasraton ka meri shumaar nahin
apni nazrein bikher de saaqi
may ba-andaaza-e-khumaar nahin
zer-e-lab hai abhi tabassum-e-dost
muntashir jalwa-e-bahaar nahin
apni takmeel kar raha hoon main
warna tujh se to mujh ko pyaar nahin
chaara-e-intizaar kaun kare
teri nafrat bhi ustuvaar nahin
faiz zinda rahein vo hain to sahi
kya hua gar wafa-shiaar nahin
इश्क़ मिन्नत-कश-ए-क़रार नहीं
हुस्न मजबूर-ए-इंतिज़ार नहीं
तेरी रंजिश की इंतिहा मालूम
हसरतों का मिरी शुमार नहीं
अपनी नज़रें बिखेर दे साक़ी
मय ब-अंदाज़ा-ए-ख़ुमार नहीं
ज़ेर-ए-लब है अभी तबस्सुम-ए-दोस्त
मुंतशिर जल्वा-ए-बहार नहीं
अपनी तकमील कर रहा हूँ मैं
वर्ना तुझ से तो मुझ को प्यार नहीं
चारा-ए-इंतिज़ार कौन करे
तेरी नफ़रत भी उस्तुवार नहीं
'फ़ैज़' ज़िंदा रहें वो हैं तो सही
क्या हुआ गर वफ़ा-शिआर नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Sharaab Shayari Shayari