qarz-e-nigaah-e-yaar ada kar chuke hain hum | क़र्ज़-ए-निगाह-ए-यार अदा कर चुके हैं हम - Faiz Ahmad Faiz

qarz-e-nigaah-e-yaar ada kar chuke hain hum
sab kuch nisaar-e-raah-e-wafa kar chuke hain hum

kuch imtihaan-e-dast-e-jafa kar chuke hain hum
kuch un ki dastaras ka pata kar chuke hain hum

ab ehtiyaat ki koi soorat nahin rahi
qaateel se rasm-o-raah siva kar chuke hain hum

dekhen hai kaun kaun zaroorat nahin rahi
koo-e-sitam mein sab ko khafa kar chuke hain hum

ab apna ikhtiyaar hai chahe jahaan chalen
rahbar se apni raah juda kar chuke hain hum

un ki nazar mein kya karein feeka hai ab bhi rang
jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain hum

kuch apne dil ki khoo ka bhi shukraana chahiye
sau baar un ki khoo ka gila kar chuke hain hum

क़र्ज़-ए-निगाह-ए-यार अदा कर चुके हैं हम
सब कुछ निसार-ए-राह-ए-वफ़ा कर चुके हैं हम

कुछ इम्तिहान-ए-दस्त-ए-जफ़ा कर चुके हैं हम
कुछ उन की दस्तरस का पता कर चुके हैं हम

अब एहतियात की कोई सूरत नहीं रही
क़ातिल से रस्म-ओ-राह सिवा कर चुके हैं हम

देखें है कौन कौन ज़रूरत नहीं रही
कू-ए-सितम में सब को ख़फ़ा कर चुके हैं हम

अब अपना इख़्तियार है चाहे जहाँ चलें
रहबर से अपनी राह जुदा कर चुके हैं हम

उन की नज़र में क्या करें फीका है अब भी रंग
जितना लहू था सर्फ़-ए-क़बा कर चुके हैं हम

कुछ अपने दिल की ख़ू का भी शुक्राना चाहिए
सौ बार उन की ख़ू का गिला कर चुके हैं हम

- Faiz Ahmad Faiz
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari