ye jafa-e-gham ka chaara vo najaat-e-dil ka aalam
tira husn dast-e-eesa tiri yaad roo-e-maryam
dil o jaan fida-e-raahe kabhi aa ke dekh hamdam
sar-e-koo-e-dil-figaaraan shab-e-aarzoo ka aalam
tiri deed se siva hai tire shauq mein bahaaraan
vo chaman jahaan giri hai tire gesuon ki shabnam
ye ajab qayaamaatein hain tire raahguzaar mein guzraan
na hua ki mar mitein ham na hua ki jee uthe ham
lo sooni gai hamaari yun phire hain din ki phir se
wahi gosha-e-qafas hai wahi fasl-e-gul ka maatam
ये जफ़ा-ए-ग़म का चारा वो नजात-ए-दिल का आलम
तिरा हुस्न दस्त-ए-ईसा तिरी याद रू-ए-मर्यम
दिल ओ जाँ फ़िदा-ए-राहे कभी आ के देख हमदम
सर-ए-कू-ए-दिल-फ़िगाराँ शब-ए-आरज़ू का आलम
तिरी दीद से सिवा है तिरे शौक़ में बहाराँ
वो चमन जहाँ गिरी है तिरे गेसुओं की शबनम
ये अजब क़यामतें हैं तिरे रहगुज़र में गुज़राँ
न हुआ कि मर मिटें हम न हुआ कि जी उठें हम
लो सुनी गई हमारी यूँ फिरे हैं दिन कि फिर से
वही गोशा-ए-क़फ़स है वही फ़स्ल-ए-गुल का मातम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Duniya Shayari Shayari