ham ne sab sher mein sanwaare the
ham se jitne sukhun tumhaare the
rang-o-khushboo ke husn-o-khoobi ke
tum se the jitne istiaare the
tere qaul-o-qaraar se pehle
apne kuchh aur bhi sahaare the
jab vo laal-o-guhar hisaab kiye
jo tire gham ne dil pe vaare the
mere daaman mein aa gire saare
jitne tasht-e-falak mein taare the
umr-e-jaaved ki dua karte
faiz itne vo kab hamaare the
हम ने सब शेर में सँवारे थे
हम से जितने सुख़न तुम्हारे थे
रंग-ओ-ख़ुशबू के हुस्न-ओ-ख़ूबी के
तुम से थे जितने इस्तिआरे थे
तेरे क़ौल-ओ-क़रार से पहले
अपने कुछ और भी सहारे थे
जब वो लाल-ओ-गुहर हिसाब किए
जो तिरे ग़म ने दिल पे वारे थे
मेरे दामन में आ गिरे सारे
जितने तश्त-ए-फ़लक में तारे थे
उम्र-ए-जावेद की दुआ करते
'फ़ैज़' इतने वो कब हमारे थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Udasi Shayari Shayari