chashm-e-maygoon zara idhar kar de | चश्म-ए-मयगूँ ज़रा इधर कर दे - Faiz Ahmad Faiz

chashm-e-maygoon zara idhar kar de
dast-e-qudrat ko be-asar kar de

tez hai aaj dard-e-dil saaqi
talkhi-e-may ko tez-tar kar de

josh-e-wahshat hai tishna-kaam abhi
chaak-e-daaman ko ta jigar kar de

meri qismat se khelne waale
mujh ko qismat se be-khabar kar de

loot rahi hai meri mata-e-niyaaz
kaash vo is taraf nazar kar de

faiz takmeel-e-aarzoo maaloom
ho sake to yoonhi basar kar de

चश्म-ए-मयगूँ ज़रा इधर कर दे
दस्त-ए-क़ुदरत को बे-असर कर दे

तेज़ है आज दर्द-ए-दिल साक़ी
तल्ख़ी-ए-मय को तेज़-तर कर दे

जोश-ए-वहशत है तिश्ना-काम अभी
चाक-ए-दामन को ता जिगर कर दे

मेरी क़िस्मत से खेलने वाले
मुझ को क़िस्मत से बे-ख़बर कर दे

लुट रही है मिरी मता-ए-नियाज़
काश वो इस तरफ़ नज़र कर दे

'फ़ैज़' तकमील-ए-आरज़ू मालूम
हो सके तो यूँही बसर कर दे

- Faiz Ahmad Faiz
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari