aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
is ke ba'ad aaye jo azaab aaye
baam-e-meena se mahtaab utre
dast-e-saaqi mein aftaab aaye
har rag-e-khoon mein phir charaaghaan ho
saamne phir vo be-naqaab aaye
umr ke har varq pe dil ki nazar
teri mehr-o-wafa ke baab aaye
kar raha tha gham-e-jahaan ka hisaab
aaj tum yaad be-hisaab aaye
na gai tere gham ki sardaari
dil mein yun roz inqilaab aaye
jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi ham khaanumaan-kharaab aaye
is tarah apni khaamoshi goonji
goya har samt se jawaab aaye
faiz thi raah sar-b-sar manzil
ham jahaan pahunchen kaamyaab aaye
आए कुछ अब्र कुछ शराब आए
इस के बा'द आए जो अज़ाब आए
बाम-ए-मीना से माहताब उतरे
दस्त-ए-साक़ी में आफ़्ताब आए
हर रग-ए-ख़ूँ में फिर चराग़ाँ हो
सामने फिर वो बे-नक़ाब आए
उम्र के हर वरक़ पे दिल की नज़र
तेरी मेहर-ओ-वफ़ा के बाब आए
कर रहा था ग़म-ए-जहाँ का हिसाब
आज तुम याद बे-हिसाब आए
न गई तेरे ग़म की सरदारी
दिल में यूँ रोज़ इंक़लाब आए
जल उठे बज़्म-ए-ग़ैर के दर-ओ-बाम
जब भी हम ख़ानुमाँ-ख़राब आए
इस तरह अपनी ख़ामुशी गूँजी
गोया हर सम्त से जवाब आए
'फ़ैज़' थी राह सर-ब-सर मंज़िल
हम जहाँ पहुँचे कामयाब आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Paani Shayari Shayari