gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale | गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले

  - Faiz Ahmad Faiz

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka kaarobaar chale

qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
kahi to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale

kabhi to subh tire kunj-e-lab se ho aaghaaz
kabhi to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale

bada hai dard ka rishta ye dil gareeb sahi
tumhaare naam pe aayenge gham-gusaar chale

jo ham pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
hamaare ashk tiri aqibat sanwaar chale

huzoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ki talab
girah mein le ke garebaan ka taar taar chale

maqaam faiz koi raah mein jacha hi nahin
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale

गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले

क़फ़स उदास है यारो सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बहर-ए-ख़ुदा आज ज़िक्र-ए-यार चले

कभी तो सुब्ह तिरे कुंज-ए-लब से हो आग़ाज़
कभी तो शब सर-ए-काकुल से मुश्क-बार चले

बड़ा है दर्द का रिश्ता ये दिल ग़रीब सही
तुम्हारे नाम पे आएँगे ग़म-गुसार चले

जो हम पे गुज़री सो गुज़री मगर शब-ए-हिज्राँ
हमारे अश्क तिरी आक़िबत सँवार चले

हुज़ूर-ए-यार हुई दफ़्तर-ए-जुनूँ की तलब
गिरह में ले के गरेबाँ का तार तार चले

मक़ाम 'फ़ैज़' कोई राह में जचा ही नहीं
जो कू-ए-यार से निकले तो सू-ए-दार चले

  - Faiz Ahmad Faiz

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari