shaikh sahab se rasm-o-raah na ki | शैख़ साहब से रस्म-ओ-राह न की - Faiz Ahmad Faiz

shaikh sahab se rasm-o-raah na ki
shukr hai zindagi tabaah na ki

tujh ko dekha to ser-chashm hue
tujh ko chaaha to aur chaah na ki

tere dast-e-sitam ka izz nahin
dil hi kaafir tha jis ne aah na ki

the shab-e-hijr kaam aur bahut
hum ne fikr-e-dil-e-tabaah na ki

kaun qaateel bacha hai shehar mein faiz
jis se yaaron ne rasm-o-raah na ki

शैख़ साहब से रस्म-ओ-राह न की
शुक्र है ज़िंदगी तबाह न की

तुझ को देखा तो सेर-चश्म हुए
तुझ को चाहा तो और चाह न की

तेरे दस्त-ए-सितम का इज्ज़ नहीं
दिल ही काफ़िर था जिस ने आह न की

थे शब-ए-हिज्र काम और बहुत
हम ने फ़िक्र-ए-दिल-ए-तबाह न की

कौन क़ातिल बचा है शहर में 'फ़ैज़'
जिस से यारों ने रस्म-ओ-राह न की

- Faiz Ahmad Faiz
1 Like

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari