tire gham ko jaan ki talash thi tire jaan-nisaar chale gaye | तिरे ग़म को जाँ की तलाश थी तिरे जाँ-निसार चले गए

  - Faiz Ahmad Faiz

tire gham ko jaan ki talash thi tire jaan-nisaar chale gaye
tiri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzaar chale gaye

tiri kaj-adaai se haar ke shab-e-intizaar chali gai
mere zabt-e-haal se rooth kar mere gham-gusaar chale gaye

na sawaal-e-wasl na arz-e-gham na hikaayaten na shikaayaten
tire ahad mein dil-e-zaar ke sabhi ikhtiyaar chale gaye

ye humeen the jin ke libaas par sar-e-rah siyaahi likhi gai
yahi daagh the jo saja ke ham sar-e-bazm-e-yaar chale gaye

na raha junoon-e-rukh-e-wafa ye rasan ye daar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naaz tha vo gunaahgaar chale gaye

तिरे ग़म को जाँ की तलाश थी तिरे जाँ-निसार चले गए
तिरी रह में करते थे सर तलब सर-ए-रहगुज़ार चले गए

तिरी कज-अदाई से हार के शब-ए-इंतिज़ार चली गई
मिरे ज़ब्त-ए-हाल से रूठ कर मिरे ग़म-गुसार चले गए

न सवाल-ए-वस्ल न अर्ज़-ए-ग़म न हिकायतें न शिकायतें
तिरे अहद में दिल-ए-ज़ार के सभी इख़्तियार चले गए

ये हमीं थे जिन के लिबास पर सर-ए-रह सियाही लिखी गई
यही दाग़ थे जो सजा के हम सर-ए-बज़्म-ए-यार चले गए

न रहा जुनून-ए-रुख़-ए-वफ़ा ये रसन ये दार करोगे क्या
जिन्हें जुर्म-ए-इश्क़ पे नाज़ था वो गुनाहगार चले गए

  - Faiz Ahmad Faiz

Haya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Haya Shayari Shayari