main rona chahta hoon khoob rona chahta hoon main | मैं रोना चाहता हूँ ख़ूब रोना चाहता हूँ मैं

  - Farhat Ehsaas

main rona chahta hoon khoob rona chahta hoon main
aur us ke baad gahri neend sona chahta hoon main

tere honton ke sehra mein teri aankhon ke jungle mein
jo ab tak pa chuka hoon us ko khona chahta hoon main

saahil

ye kacchi mittiyon ke dher apne chaak par rakh le
teri raftaar ka ham-raks hona chahta hoon main

tera saahil nazar aane se pehle is samandar mein
havas ke sab safeenon ko dubona chahta hoon main

dooriyaan

kabhi to fasl aayegi jahaan mein mere hone ki
teri khaak-e-badan mein khud ko bona chahta hoon main

mere saare badan par dooriyon ki khaak bikhri hai
tumhaare saath mil kar khud ko dhona chahta hoon main

मैं रोना चाहता हूँ ख़ूब रोना चाहता हूँ मैं
और उस के बाद गहरी नींद सोना चाहता हूँ मैं

तेरे होंटों के सहरा में तेरी आँखों के जंगल में
जो अब तक पा चुका हूँ उस को खोना चाहता हूँ मैं

साहिल...

ये कच्ची मिट्टीयों के ढेर अपने चाक पर रख ले
तेरी रफ़्तार का हम-रक़्स होना चाहता हूँ मैं

तेरा साहिल नज़र आने से पहले इस समंदर में
हवस के सब सफ़ीनों को डुबोना चाहता हूँ मैं

दूरियां...

कभी तो फ़स्ल आएगी जहाँ में मेरे होने की
तेरी ख़ाक-ए-बदन में ख़ुद को बोना चाहता हूँ मैं

मेरे सारे बदन पर दूरियों की ख़ाक बिखरी है
तुम्हारे साथ मिल कर ख़ुद को धोना चाहता हूँ मैं

  - Farhat Ehsaas

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Ehsaas

As you were reading Shayari by Farhat Ehsaas

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Ehsaas

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari