chamakte chaand se chehron ke manzar se nikal aaye | चमकते चाँद से चेहरों के मंज़र से निकल आए - Fuzail Jafri

chamakte chaand se chehron ke manzar se nikal aaye
khuda haafiz kaha bosa liya ghar se nikal aaye

ye sach hai hum ko bhi khone pade kuch khwaab kuch rishte
khushi is ki hai lekin halka-e-shar se nikal aaye

agar sab sone waale mard aurat paak-teenat the
to itne jaanwar kis tarah bistar se nikal aaye

dikhaai de na de lekin haqeeqat phir haqeeqat hai
andhere raushni ban kar samundar se nikal aaye

चमकते चाँद से चेहरों के मंज़र से निकल आए
ख़ुदा हाफ़िज़ कहा बोसा लिया घर से निकल आए

ये सच है हम को भी खोने पड़े कुछ ख़्वाब कुछ रिश्ते
ख़ुशी इस की है लेकिन हल्क़ा-ए-शर से निकल आए

अगर सब सोने वाले मर्द औरत पाक-तीनत थे
तो इतने जानवर किस तरह बिस्तर से निकल आए

दिखाई दे न दे लेकिन हक़ीक़त फिर हक़ीक़त है
अँधेरे रौशनी बन कर समुंदर से निकल आए

- Fuzail Jafri
3 Likes

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fuzail Jafri

As you were reading Shayari by Fuzail Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Fuzail Jafri

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari