hawa ke seeng na pakdo khaded deti hai | हवा के सींग न पकड़ो खदेड़ देती है

  - Gulzar

hawa ke seeng na pakdo khaded deti hai
zameen se pedon ke taanke udhed deti hai

main chup karaata hoon har shab umdati baarish ko
magar ye roz gai baat chhed deti hai

zameen sa doosra koi sakhi kahaan hoga
zara sa beej utha le to ped deti hai

rundhe gale ki duaon se bhi nahin khulta
dar-e-hayaat jise maut bhed deti hai

हवा के सींग न पकड़ो खदेड़ देती है
ज़मीं से पेड़ों के टाँके उधेड़ देती है

मैं चुप कराता हूँ हर शब उमडती बारिश को
मगर ये रोज़ गई बात छेड़ देती है

ज़मीं सा दूसरा कोई सख़ी कहाँ होगा
ज़रा सा बीज उठा ले तो पेड़ देती है

रुँधे गले की दुआओं से भी नहीं खुलता
दर-ए-हयात जिसे मौत भेड़ देती है

  - Gulzar

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari