mujhe shaad rakhna ki naashaad rakhna | मुझे शाद रखना कि नाशाद रखना

  - Hafeez Jalandhari

mujhe shaad rakhna ki naashaad rakhna
mere deeda o dil ko aabaad rakhna

bhulaai nahin ja sakengi ye baatein
tumhein yaad aayenge ham yaad rakhna

vo naashaad o barbaad rakhte hain mujh ko
ilaahi unhen shaad o aabaad rakhna

tumhein bhi qasam hai ki jo sar jhuka de
usi ko tah-e-tegh-e-bedad rakhna

milenge tumhein raah mein but-kade bhi
zara apne allah ko yaad rakhna

jahaan bhi nashe mein qadam larkhadaayein
wahin ek masjid ki buniyaad rakhna

sitaaron pe chalte hue ibn-e-aadam
nazar mein farishton ki uftaad rakhna

hafiz apne afkaar ki saadgi ko
takalluf ki uljhan se azaad rakhna

मुझे शाद रखना कि नाशाद रखना
मिरे दीदा ओ दिल को आबाद रखना

भुलाई नहीं जा सकेंगी ये बातें
तुम्हें याद आएँगे हम याद रखना

वो नाशाद ओ बर्बाद रखते हैं मुझ को
इलाही उन्हें शाद ओ आबाद रखना

तुम्हें भी क़सम है कि जो सर झुका दे
उसी को तह-ए-तेग़-ए-बेदाद रखना

मिलेंगे तुम्हें राह में बुत-कदे भी
ज़रा अपने अल्लाह को याद रखना

जहाँ भी नशे में क़दम लड़खड़ाएँ
वहीं एक मस्जिद की बुनियाद रखना

सितारों पे चलते हुए इब्न-ए-आदम
नज़र में फ़रिश्तों की उफ़्ताद रखना

'हफ़ीज़' अपने अफ़्कार की सादगी को
तकल्लुफ़ की उलझन से आज़ाद रखना

  - Hafeez Jalandhari

Beqarari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Beqarari Shayari Shayari