dil ko veeraana kahoge mujhe maaloom na tha
phir bhi dil hi mein rahoge mujhe maaloom na tha
saath duniya ka main chhodunga tumhaari khaatir
aur tum saath na doge mujhe maaloom na tha
chup jo hoon koi buri baat hai mere dil mein
tum bhi ye baat kahoge mujhe maaloom na tha
log rote hain meri bad-nazari ka rona
tum bhi is rau mein bahoge mujhe maaloom na tha
tum to be-sabr the aaghaaz-e-mohabbat mein hafiz
is qadar jabr sahoge mujhe maaloom na tha
दिल को वीराना कहोगे मुझे मालूम न था
फिर भी दिल ही में रहोगे मुझे मालूम न था
साथ दुनिया का मैं छोड़ूँगा तुम्हारी ख़ातिर
और तुम साथ न दोगे मुझे मालूम न था
चुप जो हूँ कोई बुरी बात है मेरे दिल में
तुम भी ये बात कहोगे मुझे मालूम न था
लोग रोते हैं मेरी बद-नज़री का रोना
तुम भी इस रौ में बहोगे मुझे मालूम न था
तुम तो बे-सब्र थे आग़ाज़-ए-मोहब्बत में 'हफ़ीज़'
इस क़दर जब्र सहोगे मुझे मालूम न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Violence Shayari Shayari