dosti ka chalan raha hi nahin
ab zamaane ki vo hawa hi nahin
sach to ye hai sanam-kade waalo
dil khuda ne tumhein diya hi nahin
palat aane se ho gaya saabit
nama-bar tu wahan gaya hi nahin
haal ye hai ki ham ghareebon ka
haal tum ne kabhi suna hi nahin
kya chale zor dasht-e-vahshat ka
ham ne daaman kabhi siya hi nahin
gair bhi ek din marengay zaroor
un ke hisse mein kya qaza hi nahin
us ki soorat ko dekhta hoon main
meri seerat vo dekhta hi nahin
ishq mera hai shehar mein mashhoor
aur tum ne abhi suna hi nahin
qissa-e-qais sun ke farmaaya
jhooth ki koi intiha hi nahin
vaasta kis ka den hafiz un ko
un buton ka koi khuda hi nahin
दोस्ती का चलन रहा ही नहीं
अब ज़माने की वो हवा ही नहीं
सच तो ये है सनम-कदे वालो
दिल ख़ुदा ने तुम्हें दिया ही नहीं
पलट आने से हो गया साबित
नामा-बर तू वहाँ गया ही नहीं
हाल ये है कि हम ग़रीबों का
हाल तुम ने कभी सुना ही नहीं
क्या चले ज़ोर दश्त-ए-वहशत का
हम ने दामन कभी सिया ही नहीं
ग़ैर भी एक दिन मरेंगे ज़रूर
उन के हिस्से में क्या क़ज़ा ही नहीं
उस की सूरत को देखता हूँ मैं
मेरी सीरत वो देखता ही नहीं
इश्क़ मेरा है शहर में मशहूर
और तुम ने अभी सुना ही नहीं
क़िस्सा-ए-क़ैस सुन के फ़रमाया
झूट की कोई इंतिहा ही नहीं
वास्ता किस का दें 'हफ़ीज़' उन को
उन बुतों का कोई ख़ुदा ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Shahr Shayari Shayari