un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kya karoon | उन को जिगर की जुस्तुजू उन की नज़र को क्या करूँ

  - Hafeez Jalandhari

un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kya karoon
mujh ko nazar ki aarzoo apne jigar ko kya karoon

raat hi raat mein tamaam tay hue umr ke maqaam
ho gai zindagi ki shaam ab main sehar ko kya karoon

vahshat-e-dil fuzoon to hai haal mera zuboon to hai
ishq nahin junoon to hai us ke asar ko kya karoon

farsh se mutmain nahin past hai na-pasand hai
arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kya karoon

haaye koi dava karo haaye koi dua karo
haaye jigar mein dard hai haaye jigar ko kya karoon

ahl-e-nazar koi nahin is liye khud-pasand hoon
aap hi dekhta hoon main apne hunar ko kya karoon

tark-e-taalluqaat par gir gai barq-e-iltifaat
raahguzar mein mil gaye raahguzar ko kya karoon

उन को जिगर की जुस्तुजू उन की नज़र को क्या करूँ
मुझ को नज़र की आरज़ू अपने जिगर को क्या करूँ

रात ही रात में तमाम तय हुए उम्र के मक़ाम
हो गई ज़िंदगी की शाम अब मैं सहर को क्या करूँ

वहशत-ए-दिल फ़ुज़ूँ तो है हाल मिरा ज़ुबूँ तो है
इश्क़ नहीं जुनूँ तो है उस के असर को क्या करूँ

फ़र्श से मुतमइन नहीं पस्त है ना-पसंद है
अर्श बहुत बुलंद है ज़ौक़-ए-नज़र को क्या करूँ

हाए कोई दवा करो हाए कोई दुआ करो
हाए जिगर में दर्द है हाए जिगर को क्या करूँ

अहल-ए-नज़र कोई नहीं इस लिए ख़ुद-पसंद हूँ
आप ही देखता हूँ मैं अपने हुनर को क्या करूँ

तर्क-ए-तअल्लुक़ात पर गिर गई बर्क़-ए-इल्तिफ़ात
राहगुज़र में मिल गए राहगुज़र को क्या करूँ

  - Hafeez Jalandhari

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari