ishq mein chhed hui deeda-e-tar se pehle | इश्क़ में छेड़ हुई दीदा-ए-तर से पहले - Hafeez Jalandhari

ishq mein chhed hui deeda-e-tar se pehle
gham ke baadal jo uthe to yahin par se pehle

ab jahannam mein liye jaati hai dil ki garmi
aag chamki thi ye allah ke ghar se pehle

haath rakh rakh ke vo seene pe kisi ka kehna
dil se dard uthata hai pehle ki jigar se pehle

dil ko ab aankh ki manzil mein bitha rakkhenge
ishq guzrega isee raahguzar se pehle

vo har vaade se inkaar b-tarz-e-iqraar
vo har ik baat pe haan lafz-e-magar se pehle

mere qisse pe wahi raushni dale shaayad
sham-e-kam-maaya jo bujhti hai sehar se pehle

chaak-e-daamani-e-gul ka hai gila kya bulbul
ki uljhta hai ye khud baad-e-sehr se pehle

kuch samajhdaar to hain naash uthaane waale
le chale hain mujhe is raahguzar se pehle

dil nahin haarte yun baazi-e-ulfat mein hafiz
khel aaghaaz hua karta hai sar se pehle

इश्क़ में छेड़ हुई दीदा-ए-तर से पहले
ग़म के बादल जो उठे तो यहीं पर से पहले

अब जहन्नम में लिए जाती है दिल की गर्मी
आग चमकी थी ये अल्लाह के घर से पहले

हाथ रख रख के वो सीने पे किसी का कहना
दिल से दर्द उठता है पहले कि जिगर से पहले

दिल को अब आँख की मंज़िल में बिठा रक्खेंगे
इश्क़ गुज़रेगा इसी राहगुज़र से पहले

वो हर वादे से इंकार ब-तर्ज़-ए-इक़रार
वो हर इक बात पे हाँ लफ़्ज़-ए-मगर से पहले

मेरे क़िस्से पे वही रौशनी डाले शायद
शम-ए-कम-माया जो बुझती है सहर से पहले

चाक-ए-दामानी-ए-गुल का है गिला क्या बुलबुल
कि उलझता है ये ख़ुद बाद-ए-सहर से पहले

कुछ समझदार तो हैं नाश उठाने वाले
ले चले हैं मुझे इस राहगुज़र से पहले

दिल नहीं हारते यूँ बाज़ी-ए-उल्फ़त में 'हफ़ीज़'
खेल आग़ाज़ हुआ करता है सर से पहले

- Hafeez Jalandhari
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari