ai dost mit gaya hoon fana ho gaya hoon main | ऐ दोस्त मिट गया हूँ फ़ना हो गया हूँ मैं

  - Hafeez Jalandhari

ai dost mit gaya hoon fana ho gaya hoon main
is daur-e-dosti ki dava ho gaya hoon main

qaaim kiya hai main ne adam ke vujood ko
duniya samajh rahi hai fana ho gaya hoon main

himmat buland thi magar uftaad dekhna
chup-chaap aaj mahv-e-dua ho gaya hoon main

ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahi
shaayad aseer-e-daam-e-bala ho gaya hoon main

haan kaif-e-be-khudi ki vo saaat bhi yaad hai
mehsoos kar raha tha khuda ho gaya hoon main

ऐ दोस्त मिट गया हूँ फ़ना हो गया हूँ मैं
इस दौर-ए-दोस्ती की दवा हो गया हूँ मैं

क़ाएम किया है मैं ने अदम के वजूद को
दुनिया समझ रही है फ़ना हो गया हूँ मैं

हिम्मत बुलंद थी मगर उफ़्ताद देखना
चुप-चाप आज महव-ए-दुआ हो गया हूँ मैं

ये ज़िंदगी फ़रेब-ए-मुसलसल न हो कहीं
शायद असीर-ए-दाम-ए-बला हो गया हूँ मैं

हाँ कैफ़-ए-बे-ख़ुदी की वो साअत भी याद है
महसूस कर रहा था ख़ुदा हो गया हूँ मैं

  - Hafeez Jalandhari

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari