kam-bakht dil bura hua tiri aah aah ka | कम-बख़्त दिल बुरा हुआ तिरी आह आह का - Hafeez Jalandhari

kam-bakht dil bura hua tiri aah aah ka
husn-e-nigaah bhi na raha gaah gaah ka

chhedo na meethi neend mein ai munkar-o-nakeer
sone do bhaai main thaka-maanda hoon raah ka

mere muqallidon ko meri raah-e-shauq mein
har gaam par nishaan mila sajda-gaah ka

dil sa gawaah hashr mein aa kar fisal gaya
ab rehm par muaamla hai daad-khwaah ka

kis munh se kah rahe ho humein kuch garz nahin
kis munh se tum ne w'ada kiya tha nibaah ka

dil lene waali baat isee dil se poochiye
maalik yahi hai mere safed o siyaah ka

pesh-e-khuda chalo to maza jab hai ai hafiz
naara ho lab pe ashhadu-an-la-ilah ka

कम-बख़्त दिल बुरा हुआ तिरी आह आह का
हुस्न-ए-निगाह भी न रहा गाह गाह का

छेड़ो न मीठी नींद में ऐ मुनकर-ओ-नकीर
सोने दो भाई मैं थका-माँदा हूँ राह का

मेरे मुक़ल्लिदों को मिरी राह-ए-शौक़ में
हर गाम पर निशान मिला सज्दा-गाह का

दिल सा गवाह हश्र में आ कर फिसल गया
अब रहम पर मुआमला है दाद-ख़्वाह का

किस मुँह से कह रहे हो हमें कुछ ग़रज़ नहीं
किस मुँह से तुम ने व'अदा किया था निबाह का

दिल लेने वाली बात इसी दिल से पोछिए
मालिक यही है मेरे सफ़ेद ओ सियाह का

पेश-ए-ख़ुदा चलो तो मज़ा जब है ऐ 'हफ़ीज़'
नारा हो लब पे अशहदो-अन-ला-इलाह का

- Hafeez Jalandhari
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari