koi dava na de sake mashwara-e-dua diya | कोई दवा न दे सके मशवरा-ए-दुआ दिया

  - Hafeez Jalandhari

koi dava na de sake mashwara-e-dua diya
charagaron ne aur bhi dard dil ka badha diya

dono ko de ke sooraten saath hi aaina diya
ishq bisorne laga husn ne muskuraa diya

zaauq-e-nigaah ke siva shauq-e-gunaah ke siva
mujh ko buton se kya mila mujh ko khuda ne kya diya

thi na khizaan ki rok-thaam daman-e-ikhtiyaar mein
ham ne bhari bahaar mein apna chaman luta diya

husn-e-nazar ki aabroo sanat-e-barahman se hai
jis ko sanam bana liya us ko khuda bana diya

daagh hai mujh pe ishq ka mera gunaah bhi to dekh
us ki nigaah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya

ishq ki mamlakat mein hai shorish-e-aql-e-na-muraad
ubhara kahi jo ye fasaad dil ne wahin daba diya

naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe dhoondte ho kya
harf-e-ghalat nazar pada tum ne mujhe mita diya

khubs-e-darun dikha diya har dehan-e-ghaliz ne
kuchh na kaha hafiz ne hans diya muskuraa diya

कोई दवा न दे सके मशवरा-ए-दुआ दिया
चारागरों ने और भी दर्द दिल का बढ़ा दिया

दोनों को दे के सूरतें साथ ही आइना दिया
इश्क़ बिसोरने लगा हुस्न ने मुस्कुरा दिया

ज़ौक़-ए-निगाह के सिवा शौक़-ए-गुनाह के सिवा
मुझ को बुतों से क्या मिला मुझ को ख़ुदा ने क्या दिया

थी न ख़िज़ाँ की रोक-थाम दामन-ए-इख़्तियार में
हम ने भरी बहार में अपना चमन लुटा दिया

हुस्न-ए-नज़र की आबरू सनअत-ए-बरहमन से है
जिस को सनम बना लिया उस को ख़ुदा बना दिया

दाग़ है मुझ पे इश्क़ का मेरा गुनाह भी तो देख
उस की निगाह भी तो देख जिस ने ये गुल खिला दिया

इश्क़ की मम्लिकत में है शोरिश-ए-अक़्ल-ए-ना-मुराद
उभरा कहीं जो ये फ़साद दिल ने वहीं दबा दिया

नक़्श-ए-वफ़ा तो मैं ही था अब मुझे ढूँडते हो क्या
हर्फ़-ए-ग़लत नज़र पड़ा तुम ने मुझे मिटा दिया

ख़ुब्स-ए-दरूँ दिखा दिया हर दहन-ए-ग़लीज़ ने
कुछ न कहा 'हफ़ीज़' ने हँस दिया मुस्कुरा दिया

  - Hafeez Jalandhari

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari