jahaan qatre ko tarasaaya gaya hoon | जहाँ क़तरे को तरसाया गया हूँ

  - Hafeez Jalandhari

jahaan qatre ko tarasaaya gaya hoon
wahin dooba hua paaya gaya hoon

b-haal-e-gumrahi paaya gaya hoon
haram se dair mein laaya gaya hoon

bala kaafi na thi ik zindagi ki
dobara yaad farmaaya gaya hoon

b-rang-e-laala-e-veeraana bekar
khilaaya aur murjhaya gaya hoon

agarche abr-e-gauhar-baar hoon main
magar aankhon se barsaaya gaya hoon

supurd-e-khaak hi karna tha mujh ko
to phir kahe ko nehl
aaya gaya hoon

farishte ko na main shaitaan samjha
nateeja ye ki behkaaya gaya hoon

koi sanat nahin mujh mein to phir kyun
numaish-gaah mein laaya gaya hoon

b-qaul-e-brahman qahr-e-khuda hoon
buton ke husn par dhaaya gaya hoon

mujhe to is khabar ne kho diya hai
suna hai main kahi paaya gaya hoon

hafiz ahl-e-zabaan kab maante the
bade zoron se manwaaya gaya hoon

जहाँ क़तरे को तरसाया गया हूँ
वहीं डूबा हुआ पाया गया हूँ

ब-हाल-ए-गुमरही पाया गया हूँ
हरम से दैर में लाया गया हूँ

बला काफ़ी न थी इक ज़िंदगी की
दोबारा याद फ़रमाया गया हूँ

ब-रंग-ए-लाला-ए-वीराना बेकार
खिलाया और मुरझाया गया हूँ

अगरचे अब्र-ए-गौहर-बार हूँ मैं
मगर आँखों से बरसाया गया हूँ

सुपुर्द-ए-ख़ाक ही करना था मुझ को
तो फिर काहे को नहलाया गया हूँ

फ़रिश्ते को न मैं शैतान समझा
नतीजा ये कि बहकाया गया हूँ

कोई सनअत नहीं मुझ में तो फिर क्यूँ
नुमाइश-गाह में लाया गया हूँ

ब-क़ौल-ए-बरहमन क़हर-ए-ख़ुदा हूँ
बुतों के हुस्न पर ढाया गया हूँ

मुझे तो इस ख़बर ने खो दिया है
सुना है मैं कहीं पाया गया हूँ

'हफ़ीज़' अहल-ए-ज़बाँ कब मानते थे
बड़े ज़ोरों से मनवाया गया हूँ

  - Hafeez Jalandhari

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari