us shokh ne nigaah na ki ham bhi chup rahe | उस शोख़ ने निगाह न की हम भी चुप रहे

  - Hafeez Jalandhari

us shokh ne nigaah na ki ham bhi chup rahe
ham ne bhi aah aah na ki ham bhi chup rahe

aaya na un ko ahad-mulaqaat ka lihaaz
ham ne bhi koi chaah na ki ham bhi chup rahe

dekha kiye hamaari taraf bazm-e-ghair mein
tajdeed-e-rasm-o-raah na ki ham bhi chup rahe

tha zindagi se badh ke hamein waz'a ka khayal
jab umr ne nibaah na ki ham bhi chup rahe

khaamosh ho gaeein jo umangein shabaab ki
phir jurat-e-gunah na ki ham bhi chup rahe

maghroor tha kamaal-e-sukhan par bahut hafiz
ham ne bhi waah-waah na ki ham bhi chup rahe

उस शोख़ ने निगाह न की हम भी चुप रहे
हम ने भी आह आह न की हम भी चुप रहे

आया न उन को अहद-मुलाक़ात का लिहाज़
हम ने भी कोई चाह न की हम भी चुप रहे

देखा किए हमारी तरफ़ बज़्म-ए-ग़ैर में
तज्दीद-ए-रस्म-ओ-राह न की हम भी चुप रहे

था ज़िंदगी से बढ़ के हमें वज़्अ का ख़याल
जब उम्र ने निबाह न की हम भी चुप रहे

ख़ामोश हो गईं जो उमंगें शबाब की
फिर जुरअत-ए-गुनाह न की हम भी चुप रहे

मग़रूर था कमाल-ए-सुख़न पर बहुत 'हफ़ीज़'
हम ने भी वाह-वाह न की हम भी चुप रहे

  - Hafeez Jalandhari

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari