kal zaroor aaoge lekin aaj kya karoon | कल ज़रूर आओगे लेकिन आज क्या करूँ

  - Hafeez Jalandhari

kal zaroor aaoge lekin aaj kya karoon
badh raha hai qalb ka ikhtilaaj kya karoon

kya karoon koi nahin ehtiyaaj dost ko
aur mujh ko dost ki ehtiyaaj kya karoon

ab vo fikrmand hain kah diya tabeeb ne
ishq hai junoon nahin main ilaaj kya karoon

ghairat-e-raqeeb ka shikwa kar rahe ho tum
is muaamle mein sakht hai mizaaj kya karoon

maa-siwa-e-aashiqi aur kuchh kiya bhi ho
soojhtaa hi kuchh nahin kaam-kaaj kya karoon

mahv-e-kaar-e-deen hoon main boriya-nasheen hoon main
raahzan nahin hoon main takht-o-taaj kya karoon

zor aur zar baghair ishq kya karoon hafiz
chal gaya hai mulk mein ye rivaaj kya karoon

कल ज़रूर आओगे लेकिन आज क्या करूँ
बढ़ रहा है क़ल्ब का इख़्तिलाज क्या करूँ

क्या करूँ कोई नहीं एहतियाज दोस्त को
और मुझ को दोस्त की एहतियाज क्या करूँ

अब वो फ़िक्रमंद हैं कह दिया तबीब ने
इश्क़ है जुनूँ नहीं मैं इलाज क्या करूँ

ग़ैरत-ए-रक़ीब का शिकवा कर रहे हो तुम
इस मुआमले में सख़्त है मिज़ाज क्या करूँ

मा-सिवा-ए-आशिक़ी और कुछ किया भी हो
सूझता ही कुछ नहीं काम-काज क्या करूँ

महव-ए-कार-ए-दीं हूँ मैं बोरिया-नशीं हूँ मैं
राहज़न नहीं हूँ मैं तख़्त-ओ-ताज क्या करूँ

ज़ोर और ज़र बग़ैर इश्क़ क्या करूँ 'हफ़ीज़'
चल गया है मुल्क में ये रिवाज क्या करूँ

  - Hafeez Jalandhari

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari