aane waale jaane waale har zamaane ke liye | आने वाले जाने वाले हर ज़माने के लिए

  - Hafeez Jalandhari

aane waale jaane waale har zamaane ke liye
aadmi mazdoor hai raahen banaane ke liye

zindagi firdaus-e-gum-gashta ko pa sakti nahin
maut hi aati hai ye manzil dikhaane ke liye

meri peshaani pe ik sajda to hai likkha hua
ye nahin maaloom hai kis aastaane ke liye

un ka wa'ada aur mujhe us par yaqeen ai hum-nasheen
ik bahaana hai tadapne tilmilaane ke liye

jab se pahra zabt ka hai aansuon ki fasl par
ho gaeein muhtaaj aankhen daane daane ke liye

aakhiri ummeed waqt-e-naz'a un ki deed thi
maut ko bhi mil gaya fiqra na aane ke liye

allah allah dost ko meri tabaahi par ye naaz
soo-e-dushman dekhta hai daad paane ke liye

nemat-e-gham mera hissa mujh ko de de ai khuda
jam'a rakh meri khushi saare zamaane ke liye

nuskha-e-hasti mein ibarat ke siva kya tha hafiz
surkhiyaan kuchh mil gaeein apne fasaane ke liye

आने वाले जाने वाले हर ज़माने के लिए
आदमी मज़दूर है राहें बनाने के लिए

ज़िंदगी फ़िरदौस-ए-गुम-गश्ता को पा सकती नहीं
मौत ही आती है ये मंज़िल दिखाने के लिए

मेरी पेशानी पे इक सज्दा तो है लिक्खा हुआ
ये नहीं मालूम है किस आस्ताने के लिए

उन का वअदा और मुझे उस पर यक़ीं ऐ हम-नशीं
इक बहाना है तड़पने तिलमिलाने के लिए

जब से पहरा ज़ब्त का है आँसुओं की फ़स्ल पर
हो गईं मुहताज आँखें दाने दाने के लिए

आख़िरी उम्मीद वक़्त-ए-नज़अ उन की दीद थी
मौत को भी मिल गया फ़िक़रा न आने के लिए

अल्लाह अल्लाह दोस्त को मेरी तबाही पर ये नाज़
सू-ए-दुश्मन देखता है दाद पाने के लिए

नेमत-ए-ग़म मेरा हिस्सा मुझ को दे दे ऐ ख़ुदा
जम'अ रख मेरी ख़ुशी सारे ज़माने के लिए

नुस्ख़ा-ए-हस्ती में इबरत के सिवा क्या था 'हफ़ीज़'
सुर्ख़ियाँ कुछ मिल गईं अपने फ़साने के लिए

  - Hafeez Jalandhari

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari