dil-e-be-muddaa hai aur main hoon
magar lab par dua hai aur main hoon
na saaqi hai na ab vo shay hai baaki
mera daur aa gaya hai aur main hoon
udhar duniya hai aur duniya ke bande
idhar mera khuda hai aur main hoon
koi pursaan nahin peer-e-mugaan ka
faqat meri wafa hai aur main hoon
abhi miyaad baaki hai sitam ki
mohabbat ki saza hai aur main hoon
na poocho haal mera kuchh na poocho
ki tasleem o raza hai aur main hoon
ye tool-e-umr na-maqool o be-kaif
buzurgon ki dua hai aur main hoon
lahu ke ghoont peena aur jeena
musalsal ik maza hai aur main hoon
hafiz aisi falaakat ke dinon mein
faqat shukr-e-khuda hai aur main hoon
दिल-ए-बे-मुद्दआ है और मैं हूँ
मगर लब पर दुआ है और मैं हूँ
न साक़ी है न अब वो शय है बाक़ी
मिरा दौर आ गया है और मैं हूँ
उधर दुनिया है और दुनिया के बंदे
इधर मेरा ख़ुदा है और मैं हूँ
कोई पुरसाँ नहीं पीर-ए-मुग़ाँ का
फ़क़त मेरी वफ़ा है और मैं हूँ
अभी मीआद बाक़ी है सितम की
मोहब्बत की सज़ा है और मैं हूँ
न पूछो हाल मेरा कुछ न पूछो
कि तस्लीम ओ रज़ा है और मैं हूँ
ये तूल-ए-उम्र ना-माक़ूल ओ बे-कैफ़
बुज़ुर्गों की दुआ है और मैं हूँ
लहू के घूँट पीना और जीना
मुसलसल इक मज़ा है और मैं हूँ
'हफ़ीज़' ऐसी फ़लाकत के दिनों में
फ़क़त शुक्र-ए-ख़ुदा है और मैं हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Love Shayari Shayari