vo qaafila aaraam-talab ho bhi to kya ho
aawaaz-e-nafs hi jise aawaaz-e-dara ho
khaamosh ho kyun dard-e-mohabbat ke gowaaho
da'we ko nibaho mere naalo meri aaho
har roz jo samjhaane chale aate ho naaseh
main poochta hoon tum mujhe samjhe hue kya ho
is daar-e-baqa mein meri soorat koi dekhe
ik dam ka bharosa hai jo ik dam mein fana ho
mujh ko na suna khizr o sikandar ke fasaane
mere liye yaksaan hai fana ho ki baqa ho
वो क़ाफ़िला आराम-तलब हो भी तो क्या हो
आवाज़-ए-नफ़स ही जिसे आवाज़-ए-दरा हो
ख़ामोश हो क्यूँ दर्द-ए-मोहब्बत के गोवाहो
दा'वे को निबाहो मिरे नालो मिरी आहो
हर रोज़ जो समझाने चले आते हो नासेह
मैं पूछता हूँ तुम मुझे समझे हुए क्या हो
इस दार-ए-बक़ा में मिरी सूरत कोई देखे
इक दम का भरोसा है जो इक दम में फ़ना हो
मुझ को न सुना ख़िज़्र ओ सिकंदर के फ़साने
मेरे लिए यकसाँ है फ़ना हो कि बक़ा हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Eitbaar Shayari Shayari