ye mulaqaat mulaqaat nahin hoti hai | ये मुलाक़ात मुलाक़ात नहीं होती है

  - Hafeez Jalandhari

ye mulaqaat mulaqaat nahin hoti hai
baat hoti hai magar baat nahin hoti hai

baaryaabi ka bura ho ki ab un ke dar par
agle waqton ki mudaarat nahin hoti hai

gham to ghanghor ghataon ki tarah uthte hain
zabt ka dasht hai barsaat nahin hoti hai

ye mera tajurba hai husn koi chaal chale
baazi-e-ishq kabhi maat nahin hoti hai

vasl hai naam ham-aahangi o yak-rangi ka
vasl mein koi buri baat nahin hoti hai

hijr tanhaai hai suraj hai sawaa neze par
din hi rehta hai yahan raat nahin hoti hai

zabt-e-girya kabhi karta hoon to farmaate hain
aaj kya baat hai barsaat nahin hoti hai

mujhe allah ki qasam sher mein tahseen-e-butaan
main jo karta hoon meri zaat nahin hoti hai

fikr-e-takhleeq-e-sukhan masnad-e-raahat pe hafiz
bais-e-kashf-o-karaamaat nahin hoti hai

ये मुलाक़ात मुलाक़ात नहीं होती है
बात होती है मगर बात नहीं होती है

बारयाबी का बुरा हो कि अब उन के दर पर
अगले वक़्तों की मुदारात नहीं होती है

ग़म तो घनघोर घटाओं की तरह उठते हैं
ज़ब्त का दश्त है बरसात नहीं होती है

ये मिरा तजरबा है हुस्न कोई चाल चले
बाज़ी-ए-इश्क़ कभी मात नहीं होती है

वस्ल है नाम हम-आहंगी ओ यक-रंगी का
वस्ल में कोई बुरी बात नहीं होती है

हिज्र तंहाई है सूरज है सवा नेज़े पर
दिन ही रहता है यहाँ रात नहीं होती है

ज़ब्त-ए-गिर्या कभी करता हूँ तो फ़रमाते हैं
आज क्या बात है बरसात नहीं होती है

मुझे अल्लाह की क़सम शेर में तहसीन-ए-बुताँ
मैं जो करता हूँ मेरी ज़ात नहीं होती है

फ़िक्र-ए-तख़्लीक़-ए-सुख़न मसनद-ए-राहत पे हफ़ीज़
बाइस-ए-कश्फ़-ओ-करामात नहीं होती है

  - Hafeez Jalandhari

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari