vo sarkhushi de ki zindagi ko shabaab se bahr-yaab kar de | वो सरख़ुशी दे कि ज़िंदगी को शबाब से बहर-याब कर दे

  - Hafeez Jalandhari

vo sarkhushi de ki zindagi ko shabaab se bahr-yaab kar de
mere khayaalon mein rang bhar de mere lahu ko sharaab kar de

haqeeqaten aashkaar kar de sadaqatein be-hijaab kar de
har ek zarra ye kah raha hai ki aa mujhe aftaab kar de

ye khwaab kya hai ye zisht kya hai jahaan ki asli sirishta kya hai
bada maza ho tamaam chehre agar koi be-naqaab kar de

kaho to raaz-e-hayaat kah doon haqeeqat-e-kaaynaat kah doon
vo baat kah doon ki pattharon ke jigar ko bhi aab aab kar de

khilaaf-e-taqdeer kar raha hoon phir ek taqseer kar raha hoon
phir ek tadbeer kar raha hoon khuda agar kaamyaab kar de

tire karam ke muaamle ko tire karam hi pe chhodta hoon
meri khataayein shumaar kar le meri saza ka hisaab kar de

hafiz sab se badi kharaabi hai ishq mein lutf-e-kaam-yaabi
kisi ki duniya tabaah kar de kisi ki uqba kharab kar de

वो सरख़ुशी दे कि ज़िंदगी को शबाब से बहर-याब कर दे
मिरे ख़यालों में रंग भर दे मिरे लहू को शराब कर दे

हक़ीक़तें आश्कार कर दे सदाक़तें बे-हिजाब कर दे
हर एक ज़र्रा ये कह रहा है कि आ मुझे आफ़्ताब कर दे

ये ख़्वाब क्या है ये ज़िश्त क्या है जहाँ की असली सिरिश्त क्या है
बड़ा मज़ा हो तमाम चेहरे अगर कोई बे-नक़ाब कर दे

कहो तो राज़-ए-हयात कह दूँ हक़ीक़त-ए-काएनात कह दूँ
वो बात कह दूँ कि पत्थरों के जिगर को भी आब आब कर दे

ख़िलाफ़-ए-तक़दीर कर रहा हूँ फिर एक तक़्सीर कर रहा हूँ
फिर एक तदबीर कर रहा हूँ ख़ुदा अगर कामयाब कर दे

तिरे करम के मुआमले को तिरे करम ही पे छोड़ता हूँ
मिरी ख़ताएँ शुमार कर ले मिरी सज़ा का हिसाब कर दे

'हफ़ीज़' सब से बड़ी ख़राबी है इश्क़ में लुत्फ़-ए-काम-याबी
किसी की दुनिया तबाह कर दे किसी की उक़्बा ख़राब कर दे

  - Hafeez Jalandhari

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari