dehan par hain un ke gumaan kaise kaise | दहन पर हैं उन के गुमाँ कैसे कैसे

  - Haidar Ali Aatish

dehan par hain un ke gumaan kaise kaise
kalaam aate hain darmiyaan kaise kaise

zameen-e-chaman gul khilaati hai kya kya
badalta hai rang aasmaan kaise kaise

tumhaare shaheedon mein daakhil hue hain
gul-o-laala-o-arghwaan kaise kaise

bahaar aayi hai nashshe mein jhoomte hain
mureedaan-e-peer-e-mughaan kaise kaise

ajab kya chhuta rooh se jaama-e-tan
lute raah mein kaarwaan kaise kaise

tap-e-hijr ki kaahishon ne kiye hain
juda post se ustukhwaan kaise kaise

na mud kar bhi be-dard qaateel ne dekha
tadpate rahe neem-jaan kaise kaise

na gor-e-sikandar na hai qabr-e-daara
mite naamiyon ke nishaan kaise kaise

bahaar-e-gulistaan ki hai aamad aamad
khushi firte hain baagbaan kaise kaise

tavajjoh ne teri hamaare maseeha
tavaana kiye na-tawan kaise kaise

dil-o-deeda-e-ahl-e-aalam mein ghar hai
tumhaare liye hain makaan kaise kaise

gham-o-gussa o ranj-o-andoh-o-hirmaan
hamaare bhi hain meherbaan kaise kaise

tire kilk-e-qudrat ke qurbaan aankhen
dikhaaye hain khush-roo jawaan kaise kaise

kare jis qadar shukr-e-ne'mat vo kam hai
maze looti hai zabaan kaise kaise

दहन पर हैं उन के गुमाँ कैसे कैसे
कलाम आते हैं दरमियाँ कैसे कैसे

ज़मीन-ए-चमन गुल खिलाती है क्या क्या
बदलता है रंग आसमाँ कैसे कैसे

तुम्हारे शहीदों में दाख़िल हुए हैं
गुल-ओ-लाला-ओ-अर्ग़वाँ कैसे कैसे

बहार आई है नश्शे में झूमते हैं
मुरीदान-ए-पीर-ए-मुग़ाँ कैसे कैसे

अजब क्या छुटा रूह से जामा-ए-तन
लुटे राह में कारवाँ कैसे कैसे

तप-ए-हिज्र की काहिशों ने किए हैं
जुदा पोस्त से उस्तुख़्वाँ कैसे कैसे

न मुड़ कर भी बे-दर्द क़ातिल ने देखा
तड़पते रहे नीम-जाँ कैसे कैसे

न गोर-ए-सिकंदर न है क़ब्र-ए-दारा
मिटे नामियों के निशाँ कैसे कैसे

बहार-ए-गुलिस्ताँ की है आमद आमद
ख़ुशी फिरते हैं बाग़बाँ कैसे कैसे

तवज्जोह ने तेरी हमारे मसीहा
तवाना किए ना-तवाँ कैसे कैसे

दिल-ओ-दीदा-ए-अहल-ए-आलम में घर है
तुम्हारे लिए हैं मकाँ कैसे कैसे

ग़म-ओ-ग़ुस्सा ओ रंज-ओ-अंदोह-ओ-हिर्मां
हमारे भी हैं मेहरबाँ कैसे कैसे

तिरे किल्क-ए-क़ुदरत के क़ुर्बान आँखें
दिखाए हैं ख़ुश-रू जवाँ कैसे कैसे

करे जिस क़दर शुक्र-ए-नेअमत वो कम है
मज़े लूटती है ज़बाँ कैसे कैसे

  - Haidar Ali Aatish

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari