vo naazneen ye nazaakat mein kuch yagaana hua | वो नाज़नीं ये नज़ाकत में कुछ यगाना हुआ - Haidar Ali Aatish

vo naazneen ye nazaakat mein kuch yagaana hua
jo pahni phoolon ki badhhi to dard-e-shaana hua

shaheed naaz-o-ada ka tire zamaana hua
udaaya mehndi ne dil chor ka bahaana hua

shab us ke afi-e-gesoo ka jo fasana hua
hawa kuch aisi bandhi gul charaagh-e-khaana hua

na zulf-e-yaar ka khaaka bhi kar saka maani
har ek baal mein kya kya na shaakhsaana hua

tavangaron ko mubarak ho sham-e-kaafoori
qadam se yaar ke raushan ghareeb-khaana hua

gunaahgaar hain mehrab-e-tegh ke saajid
jhukaaya sar to ada farz-e-panj-gaana hua

ghuroor-e-ishq ziyaada ghuroor-e-husn se hai
idhar to aankh bhari dam udhar ravana hua

dikha de zaahid-e-magroor ko bhi ai sanam aankh
jamaal-e-hoor ka had se siva fasana hua

bhara hai sheesha-e-dil ko nayi mohabbat se
khuda ka ghar tha jahaan waan sharaab-khaana hua

hawaaye tund na chhode mere ghubaar ka saath
ye gard-e-raah kahaan khaak-e-aastaana hua

khuda ke vaaste kar yaar cheen-e-abroo door
bada hi aib laga jis kamaan mein khaana hua

hua jo din to hua us ko paas ruswaai
jo raat aayi to phir neend ka bahaana hua

na pooch haal mera chob-e-khushk-e-sehra hoon
laga ke aag mujhe kaarwaan ravana hua

nigah-e-naaz-e-butaan se na chashm-e-rahm bhi rakh
kisi ka yaar nahin fitna-e-zamaana hua

asar kiya tapish-e-dil ne aakhir us ko bhi
raqeeb se bhi mera zikr ghaaibaana hua

hawaaye tund se patta agar koi khadka
samand-e-baad-e-bahaari ka taaziyaana hua

zabaan-e-yaar khamoshi ne meri khulwaai
main qufl ban ke kaleed-e-dar-e-khazaana hua

kiya jo yaar ne kuch shaghl-e-bark-andaazi
charaagh-e-zindagi-e-khizr tak nishaana hua

raha hai chaah-e-zaqqan mein mera dil-e-wahshi
kuein mein jungli kabootar ka aashiyana hua

khuda daraaz kare umr-e-charkh-e-neeli ko
ye be-kason ke mazaaron ka shaamiyaana hua

nahin hai misl-e-sadaf mujh sa doosra kam-bakht
naseeb-e-ghair mere munh ka aab-o-daana hua

hinaai haathon se choti ko kholta hai yaar
kahaan se panja-e-marjaan hareef-e-shaana hua

dikhaai chashm-e-ghazaalaan ne halka-e-zanjeer
humein to gosha-e-sehra bhi qaid-khaana hua

hamesha shaam se ham-saaye mar rahe aatish
hamaara naala-e-dil gosh ko fasana hua

वो नाज़नीं ये नज़ाकत में कुछ यगाना हुआ
जो पहनी फूलों की बध्धी तो दर्द-ए-शाना हुआ

शहीद नाज़-ओ-अदा का तिरे ज़माना हुआ
उड़ाया मेहंदी ने दिल चोर का बहाना हुआ

शब उस के अफ़ई-ए-गेसू का जो फ़साना हुआ
हवा कुछ ऐसी बंधी गुल चराग़-ए-ख़ाना हुआ

न ज़ुल्फ़-ए-यार का ख़ाका भी कर सका मानी
हर एक बाल में क्या क्या न शाख़साना हुआ

तवंगरों को मुबारक हो शम-ए-काफ़ूरी
क़दम से यार के रौशन ग़रीब-ख़ाना हुआ

गुनाहगार हैं मेहराब-ए-तेग़ के साजिद
झुकाया सर तो अदा फ़र्ज़-ए-पंज-गाना हुआ

ग़ुरूर-ए-इश्क़ ज़ियादा ग़ुरूर-ए-हुस्न से है
इधर तो आँख भरी दम उधर रवाना हुआ

दिखा दे ज़ाहिद-ए-मग़रूर को भी ऐ सनम आँख
जमाल-ए-हूर का हद से सिवा फ़साना हुआ

भरा है शीशा-ए-दिल को नई मोहब्बत से
ख़ुदा का घर था जहाँ वाँ शराब-ख़ाना हुआ

हवाए तुंद न छोड़े मिरे ग़ुबार का साथ
ये गर्द-ए-राह कहाँ ख़ाक-ए-आस्ताना हुआ

ख़ुदा के वास्ते कर यार चीन-ए-अबरू दूर
बड़ा ही ऐब लगा जिस कमाँ में ख़ाना हुआ

हुआ जो दिन तो हुआ उस को पास रुस्वाई
जो रात आई तो फिर नींद का बहाना हुआ

न पूछ हाल मिरा चोब-ए-ख़ुश्क-ए-सहरा हूँ
लगा के आग मुझे कारवाँ रवाना हुआ

निगाह-ए-नाज़-ए-बुताँ से न चशम-ए-रहम भी रख
किसी का यार नहीं फ़ित्ना-ए-ज़माना हुआ

असर किया तपिश-ए-दिल ने आख़िर उस को भी
रक़ीब से भी मिरा ज़िक्र ग़ाएबाना हुआ

हवाए तुंद से पत्ता अगर कोई खड़का
समंद-ए-बाद-ए-बहारी का ताज़ियाना हुआ

ज़बान-ए-यार ख़मोशी ने मेरी खुलवाई
मैं क़ुफ़्ल बन के कलीद-ए-दर-ए-ख़ज़ाना हुआ

किया जो यार ने कुछ शग़्ल-ए-बर्क़-अंदाज़ी
चराग़-ए-ज़िंदगी-ए-ख़िज़र तक निशाना हुआ

रहा है चाह-ए-ज़क़न में मिरा दिल-ए-वहशी
कुएँ में जंगली कबूतर का आशियाना हुआ

ख़ुदा दराज़ करे उम्र-ए-चर्ख़-ए-नीली को
ये बे-कसों के मज़ारों का शामियाना हुआ

नहीं है मिस्ल-ए-सदफ़ मुझ सा दूसरा कम-बख़्त
नसीब-ए-ग़ैर मिरे मुँह का आब-ओ-दाना हुआ

हिनाई हाथों से चोटी को खोलता है यार
कहाँ से पंजा-ए-मरजाँ हरीफ़-ए-शाना हुआ

दिखाई चश्म-ए-ग़ज़ालाँ ने हल्क़ा-ए-ज़ंजीर
हमें तो गोशा-ए-सहरा भी क़ैद-ख़ाना हुआ

हमेशा शाम से हम-साए मर रहे 'आतिश'
हमारा नाला-ए-दिल गोश को फ़साना हुआ

- Haidar Ali Aatish
0 Likes

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari