zinde wahi hain jo ki hain tum par mare hue
baaki jo hain so qabr mein murde bhare hue
mast-e-alast qulzum-e-hasti mein aaye hain
misl-e-habaab apna piyaala bhare hue
allaah-re safa-e-tan-e-naazneen-e-yaar
moti hain koot koot ke goya bhare hue
do din se paanv jo nahin dabwaaye yaar ne
baithe hain haath haath ke oopar dhare hue
in abroon ke halka mein vo ankhdhiyaan nahin
do taq par hain do gul-e-nargis dhare hue
ba'd-e-fana bhi aayegi mujh mast ko na neend
be-khisht-e-kham lahd mein sirhaane dhare hue
niklen jo ashk be-asar aankhon se kya ajab
paida hue hain tifl hazaaron mare hue
likkhe gaye bayaazon mein ashaar-e-intikhaab
raaij rahe wahi ki jo sikke khare hue
ulta safoon ko teg ne abroo-e-yaar ki
teer-e-miza se darham-o-barham pare hue
aatish khuda ne chaaha to dariya-e-ishq mein
koode jo ab ki ham to ware se pare hue
ज़िंदे वही हैं जो कि हैं तुम पर मरे हुए
बाक़ी जो हैं सो क़ब्र में मुर्दे भरे हुए
मस्त-ए-अलस्त क़ुल्ज़ुम-ए-हस्ती में आए हैं
मिस्ल-ए-हबाब अपना पियाला भरे हुए
अल्लाह-रे सफा-ए-तन-ए-नाज़नीन-ए-यार
मोती हैं कूट कूट के गोया भरे हुए
दो दिन से पाँव जो नहीं दबवाए यार ने
बैठे हैं हाथ हाथ के ऊपर धरे हुए
इन अब्रूओं के हल्क़ा में वो अँखड़ियाँ नहीं
दो ताक़ पर हैं दो गुल-ए-नर्गिस धरे हुए
ब'अद-ए-फ़ना भी आएगी मुझ मस्त को न नींद
बे-ख़िश्त-ए-ख़म लहद में सिरहाने धरे हुए
निकलें जो अश्क बे-असर आँखों से क्या अजब
पैदा हुए हैं तिफ़्ल हज़ारों मरे हुए
लिक्खे गए बयाज़ों में अशआर-ए-इंतिख़ाब
राइज रहे वही कि जो सिक्के खरे हुए
उल्टा सफ़ों को तेग़ ने अबरू-ए-यार की
तीर-ए-मिज़ा से दरहम-ओ-बरहम परे हुए
'आतिश' ख़ुदा ने चाहा तो दरिया-ए-इश्क़ में
कूदे जो अब की हम तो वरे से परे हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Aag Shayari Shayari