aable paav ke kya tu ne hamaare tode | आबले पावँ के क्या तू ने हमारे तोड़े

  - Haidar Ali Aatish

aable paav ke kya tu ne hamaare tode
khaar-e-sehraa-e-junoon arsh ke taare tode

zaqan o rukh mein na jaasuson se baaki rakhi
samar-e-gul chaman-e-husn ke saare tode

silsila apni giriftaari ka kab qat'a hua
pahni paazeb unhon ne jo utaare tode

mast mujh sa bhi koi nashsha ka hoga na harees
pee ke may jaam ke daanton se kinaare tode

sharbat-e-wasl hai tanqeed ki khaatir maujood
tap-e-hijr aa ke badan ko na hamaare tode

khatm duzdeeda nigaah par hai tiri tarraari
dil nahin tode ahibba ke pitaare tode

aa gaya vo shajar-e-husn nazar jab ham ko
bosa le kar lab-e-sheereen ke chhwaare tode

ishq be-dard se karne ko kaha tha kis ne
sar ko takra ke na dil dard ke maare tode

kunj-e-uzlat mein bithaaya hai khuda ne aatish
ab jo tum yaa se hile paav tumhaare tode

आबले पावँ के क्या तू ने हमारे तोड़े
ख़ार-ए-सहरा-ए-जुनूँ अर्श के तारे तोड़े

ज़क़न ओ रुख़ में न जासूसों से बाक़ी रक्खी
समर-ए-गुल चमन-ए-हुस्न के सारे तोड़े

सिलसिला अपनी गिरफ़्तारी का कब क़त्अ हुआ
पहनी पाज़ेब उन्हों ने जो उतारे तोड़े

मस्त मुझ सा भी कोई नश्शा का होगा न हरीस
पी के मय जाम के दाँतों से किनारे तोड़े

शर्बत-ए-वस्ल है तन्क़ीद की ख़ातिर मौजूद
तप-ए-हिज्र आ के बदन को न हमारे तोड़े

ख़त्म दुज़्दीदा निगह पर है तिरी तर्रारी
दिल नहीं तोड़े अहिब्बा के पिटारे तोड़े

आ गया वो शजर-ए-हुस्न नज़र जब हम को
बोसा ले कर लब-ए-शीरीं के छुवारे तोड़े

इश्क़ बे-दर्द से करने को कहा था किस ने
सर को टकरा के न दिल दर्द के मारे तोड़े

कुंज-ए-उज़्लत में बिठाया है ख़ुदा ने 'आतिश'
अब जो तुम याँ से हिले पावँ तुम्हारे तोड़े

  - Haidar Ali Aatish

Sharaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Sharaab Shayari Shayari