wahi chitwan ki khoon-khwari jo aage thi so ab bhi hai | वही चितवन की ख़ूँ-ख़्वारी जो आगे थी सो अब भी है

  - Haidar Ali Aatish

wahi chitwan ki khoon-khwari jo aage thi so ab bhi hai
tiri aankhon ki beemaari jo aage thi so ab bhi hai

wahi nashv-o-numa-e-sabza hai gor-e-ghareeban par
hawaa-e-charkh-e-zangaari jo aage thi so ab bhi hai

taalluq hai wahi taa-haal un zulfon ke saude se
silaasil ki giriftaari jo aage thi so ab bhi hai

wahi sar ka patkna hai wahi rona hai din bhar ka
wahi raaton ki bedaari jo aage thi so ab bhi hai

rivaaj-e-ishq ke aayein wahi hain kishwar-e-dil mein
rah-o-rasm-e-wafa jaari jo aage thi so ab bhi hai

wahi jee ka jalana hai pakaana hai wahi dil ka
vo us ki garm-baazaari jo aage thi so ab bhi hai

niyaaz-e-khaadimaana hai wahi fazl-e-ilaahi se
buton ki naaz-bardaari jo aage thi so ab bhi hai

firaq-e-yaar mein jis tarah se marta tha marta hoon
vo rooh o tan ki be-zaari jo aage thi so ab bhi hai

wahi sauda-e-kaakul ka hai aalam jo ki saabiq tha
ye shab beemaar par bhari jo aage thi so ab bhi hai

junoon ki garm-joshi hai wahi deewaanon se apni
wahi daaghoon ki gul-kaari jo aage thi so ab bhi hai

wahi bazaar-e-garmi hai mohabbat ki hanooz aatish
vo yusuf ki khareedaari jo aage thi so ab bhi hai

वही चितवन की ख़ूँ-ख़्वारी जो आगे थी सो अब भी है
तिरी आँखों की बीमारी जो आगे थी सो अब भी है

वही नश्व-ओ-नुमा-ए-सब्ज़ा है गोर-ए-ग़रीबाँ पर
हवा-ए-चर्ख़-ए-ज़ंगारी जो आगे थी सो अब भी है

तअल्लुक़ है वही ता-हाल उन ज़ुल्फ़ों के सौदे से
सलासिल की गिरफ़्तारी जो आगे थी सो अब भी है

वही सर का पटकना है वही रोना है दिन भर का
वही रातों की बेदारी जो आगे थी सो अब भी है

रिवाज-ए-इश्क़ के आईं वही हैं किश्वर-ए-दिल में
रह-ओ-रस्म-ए-वफ़ा जारी जो आगे थी सो अब भी है

वही जी का जलाना है पकाना है वही दिल का
वो उस की गर्म-बाज़ारी जो आगे थी सो अब भी है

नियाज़-ए-ख़ादिमाना है वही फ़ज़्ल-ए-इलाही से
बुतों की नाज़-बरदारी जो आगे थी सो अब भी है

फ़िराक़-ए-यार में जिस तरह से मरता था मरता हूँ
वो रूह ओ तन की बे-ज़ारी जो आगे थी सो अब भी है

वही साैदा-ए-काकुल का है आलम जो कि साबिक़ था
ये शब बीमार पर भारी जो आगे थी सो अब भी है

जुनूँ की गर्म-जोशी है वही दीवानों से अपनी
वही दाग़ों की गुल-कारी जो आगे थी सो अब भी है

वही बाज़ार-ए-गर्मी है मोहब्बत की हनूज़ 'आतिश'
वो यूसुफ़ की ख़रीदारी जो आगे थी सो अब भी है

  - Haidar Ali Aatish

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari