soorat se is ki behtar soorat nahin hai koi | सूरत से इस की बेहतर सूरत नहीं है कोई - Haidar Ali Aatish

soorat se is ki behtar soorat nahin hai koi
deedaar-e-yaar si bhi daulat nahin hai koi

aankhon ko khol agar tu deedaar ka hai bhooka
chaudah tabaq se baahar nemat nahin hai koi

saabit tire dehan ko kya mantiqi karenge
aisi daleel aisi hujjat nahin hai koi

ye kya samajh ke kadve hote hain aap hum se
pee jaayega kisi ko sharbat nahin hai koi

main ne kaha kabhi to tashreef laao bole
m'azoor rakhiye waqt-e-fursat nahin hai koi

hum kya kahein kisi se kya hai tariq apna
mazhab nahin hai koi millat nahin hai koi

dil le ke jaan ke bhi sail jo ho to haazir
haazir jo kuch hai us mein hujjat nahin hai koi

hum shaayaron ka halka halka hai aarifon ka
na-aashnaa-e-ma'ani soorat nahin hai koi

deewaanon se hai apne ye qaul us pari ka
khaaki o aatishi se nisbat nahin hai koi

hazda hazaar aalam dam-bhar raha hai tera
tujh ko na chahe aisi khilqat nahin hai koi

naazaan na husn par ho mehmaan hai chaar din ka
be-e'tibaar aisi daulat nahin hai koi

jaan se aziz dil ko rakhta hoon aadmi hoon
kyoon-kar kahoon main mujh ko hasrat nahin hai koi

yun bad kaha karo tum yun maal kuch na samjho
hum sa bhi khair-khwah-e-daulat nahin hai koi

main paanch waqt sajda karta hoon is sanam ko
mujh ko bhi aisi-vaisi khidmat nahin hai koi

maa-o-shuma kah-o-meh karta hai zikr tera
is dastaan se khaali sohbat nahin hai koi

shahr-e-butaan hai aatish allah ko karo yaad
kis ko pukaarte ho hazrat nahin hai koi

सूरत से इस की बेहतर सूरत नहीं है कोई
दीदार-ए-यार सी भी दौलत नहीं है कोई

आँखों को खोल अगर तू दीदार का है भूका
चौदह तबक़ से बाहर नेमत नहीं है कोई

साबित तिरे दहन को क्या मंतिक़ी करेंगे
ऐसी दलील ऐसी हुज्जत नहीं है कोई

ये क्या समझ के कड़वे होते हैं आप हम से
पी जाएगा किसी को शर्बत नहीं है कोई

मैं ने कहा कभी तो तशरीफ़ लाओ बोले
म'अज़ूर रखिए वक़्त-ए-फ़ुर्सत नहीं है कोई

हम क्या कहें किसी से क्या है तरीक़ अपना
मज़हब नहीं है कोई मिल्लत नहीं है कोई

दिल ले के जान के भी साइल जो हो तो हाज़िर
हाज़िर जो कुछ है उस में हुज्जत नहीं है कोई

हम शायरों का हल्क़ा हल्क़ा है आरिफ़ों का
ना-आश्ना-ए-मअ'नी सूरत नहीं है कोई

दीवानों से है अपने ये क़ौल उस परी का
ख़ाकी ओ आतिशी से निस्बत नहीं है कोई

हज़्दा हज़ार आलम दम-भर रहा है तेरा
तुझ को न चाहे ऐसी ख़िल्क़त नहीं है कोई

नाज़ाँ न हुस्न पर हो मेहमाँ है चार दिन का
बे-ए'तिबार ऐसी दौलत नहीं है कोई

जाँ से अज़ीज़ दिल को रखता हूँ आदमी हूँ
क्यूँ-कर कहूँ मैं मुझ को हसरत नहीं है कोई

यूँ बद कहा करो तुम यूँ माल कुछ न समझो
हम सा भी ख़ैर-ख़्वाह-ए-दौलत नहीं है कोई

मैं पाँच वक़्त सज्दा करता हूँ इस सनम को
मुझ को भी ऐसी-वैसी ख़िदमत नहीं है कोई

मा-ओ-शुमा कह-ओ-मह करता है ज़िक्र तेरा
इस दास्ताँ से ख़ाली सोहबत नहीं है कोई

शहर-ए-बुताँ है 'आतिश' अल्लाह को करो याद
किस को पुकारते हो हज़रत नहीं है कोई

- Haidar Ali Aatish
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari