ya-ali kah kar but-e-pindaar toda chahiye
nafs-e-ammaara ki gardan ko maroda chahiye
tang aa kar jism ko ai rooh chhodaa chahiye
tifl-tabon ke liye mitti ka ghoda chahiye
zulf ke saude mein apne sar ko phoda chahiye
jab bala ka saamna ho munh na moda chahiye
ghurti hai tum ko nargis aankh phoda chahiye
gul bahut hanste hain kaan un ke maroda chahiye
aaj-kal hota hai apna ishq-e-pinhaan aashkaar
pak chuka hai khoob ab phoote ye phoda chahiye
maangata hoon main khuda se apne dil se daag-e-ishq
baadshaah-e-husn ke sikke ka toda chahiye
un labon ke ishq ne hai jaise deewaana kiya
bad apni hai ik laalon ka joda chahiye
de raha hai gesoo-e-muskeen saude ko jagah
kis ke aage ja ke apne sar ko phoda chahiye
baada-e-gul-goon ke sheeshe ka hoon sail saaqiya
saath kaifiyyat ke udta mujh ko ghoda chahiye
ye sada aati hai raftaar-e-samand-e-umr se
vo bhi ghoda hai koi jis ko ki koda chahiye
qat'a miqraaz-e-khamoshi se zabaan ko kijie
qufl de kar ganj par miftaah toda chahiye
apne deewane ka dil le kar ye kehta hai vo tifl
ye khilauna hai isee qaabil ki toda chahiye
zulfen roo-e-yaar par be-wajh lehraati nahin
kuchh na kuchh zahar agle ye kaale ka joda chahiye
baagbaan se chhup ke gul-cheeni jo ki to kya kiya
aankh bulbul ki bacha kar phool toda chahiye
fasl-e-gul mein bediyaan kaatee hain mere paanv ki
haath mein haddaad ke sone ka toda chahiye
baagh-e-aalam mein yahi meri dua hai roz-o-shab
khaar khaar ishq-e-gul-e-rukh-e-rukh-saar toda chahiye
ishq ki mushkil-pasandi se hua ye aashkaar
khoobsurat ko ghuroor-e-husn thoda chahiye
zamzame sun kar mere sayyaad-e-gul-roo ne kaha
zabh kijeye aise bulbul ko na chhodaa chahiye
peer ho aatish kafan ka saamna hai an-qareeb
tauba kijeye daaman-e-tar ko nichoda chahiye
या-अली कह कर बुत-ए-पिंदार तोड़ा चाहिए
नफ़्स-ए-अम्मारा की गर्दन को मरोड़ा चाहिए
तंग आ कर जिस्म को ऐ रूह छोड़ा चाहिए
तिफ़्ल-तबओं के लिए मिट्टी का घोड़ा चाहिए
ज़ुल्फ़ के सौदे में अपने सर को फोड़ा चाहिए
जब बला का सामना हो मुँह न मोड़ा चाहिए
घूरती है तुम को नर्गिस आँख फोड़ा चाहिए
गुल बहुत हँसते हैं कान उन के मरोड़ा चाहिए
आज-कल होता है अपना इश्क़-ए-पिन्हाँ आश्कार
पक चुका है ख़ूब अब फूटे ये फोड़ा चाहिए
माँगता हूँ मैं ख़ुदा से अपने दिल से दाग़-ए-इश्क़
बादशाह-ए-हुस्न के सिक्के का तोड़ा चाहिए
उन लबों के इश्क़ ने है जैसे दीवाना किया
बड़ अपनी है इक लालों का जोड़ा चाहिए
दे रहा है गेसू-ए-मुश्कीन सौदे को जगह
किस के आगे जा के अपने सर को फोड़ा चाहिए
बादा-ए-गुल-गूँ के शीशे का हूँ साइल साक़िया
साथ कैफ़िय्यत के उड़ता मुझ को घोड़ा चाहिए
ये सदा आती है रफ़्तार-ए-समंद-ए-उम्र से
वो भी घोड़ा है कोई जिस को कि कोड़ा चाहिए
क़त्अ मिक़राज़-ए-ख़मोशी से ज़बाँ को कीजिए
क़ुफ़्ल दे कर गंज पर मिफ़्ताह तोड़ा चाहिए
अपने दीवाने का दिल ले कर ये कहता है वो तिफ़्ल
ये खिलौना है इसी क़ाबिल कि तोड़ा चाहिए
ज़ुल्फ़ें रू-ए-यार पर बे-वज्ह लहराती नहीं
कुछ न कुछ ज़हर अगले ये काले का जोड़ा चाहिए
बाग़बाँ से छुप के गुल-चीनी जो की तो क्या किया
आँख बुलबुल की बचा कर फूल तोड़ा चाहिए
फ़स्ल-ए-गुल में बेड़ियाँ काटी हैं मेरे पाँव की
हाथ में हद्दाद के सोने का तोड़ा चाहिए
बाग़-ए-आलम में यही मेरी दुआ है रोज़-ओ-शब
ख़ार ख़ार इश्क़-ए-गुल-ए-रुख़्सार तोड़ा चाहिए
इश्क़ की मुश्किल-पसंदी से हुआ ये आश्कार
ख़ूबसूरत को ग़ुरूर-ए-हुस्न थोड़ा चाहिए
ज़मज़मे सुन कर मिरे सय्याद-ए-गुल-रू ने कहा
ज़ब्ह कीजे ऐसे बुलबुल को न छोड़ा चाहिए
पीर हो 'आतिश' कफ़न का सामना है अन-क़रीब
तौबा कीजे दामन-ए-तर को निचोड़ा चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Nature Shayari Shayari