turra use jo husn-e-dil-aazaar ne kiya | तुर्रा उसे जो हुस्न-ए-दिल-आज़ार ने किया

  - Haidar Ali Aatish

turra use jo husn-e-dil-aazaar ne kiya
andher gesoo-e-siyah-e-yaar ne kiya

gul se jo saamna tire rukhsaar ne kiya
mizgaan ne vo kiya ki jo kuchh khaar ne kiya

naaz-o-ada ko tark mere yaar ne kiya
ghamza naya ye turk sitamgaar ne kiya

afshaan se kushta abroo-e-khandaar ne kiya
jauhar se kaam yaar ki talwaar ne kiya

qamat tiri daleel qayamat ki ho gai
kaam aaftaab-e-hashr ka rukhsaar ne kiya

meri nigaah ke rashk se rozan ko chaandi
rakhna ye qasr-e-yaar ki deewaar ne kiya

sauda-e-zulf mein mujhe aaya khayal-e-rukh
mushtaaq raushni ka shab-e-taar ne kiya

hasrat hi bosa-e-lab-e-sheereen ki rah gai
meetha na munh ko tere namk-khwaar ne kiya

furqat mili na giryaa se ik lahza ishq mein
paani mere lahu ko is aazaar ne kiya

seemaab ki tarah se shagufta hua mizaaj
ikseer mujh ko mere khareedaar ne kiya

qad mein to kar chuka tha vo ahmaq baraabari
majboor sarv ko tiri raftaar ne kiya

hairat se pa-b-gil hue rozan ko dekh kar
deewaar ham ko yaar ki deewaar ne kiya

patthar ke aage sajda kya tu ne brahman
kaafir tujhe tire but-e-pindaar ne kiya

kaavish mizaa ne ki rukh-e-dilbar ki deed mein
paa-e-nigaah se bhi khalish khaar ne kiya

aashiq ki tarah main jo laga karne bandagi
azaad daagh de ke khareedaar ne kiya

ejaz ka ojab lab-e-jaan-baksh se nahin
paighambar us ko musahf-e-rukhsaar ne kiya

turra ki tarah se dil-e-aashiq ko pech mein
kis kis lapet se tiri dastaar ne kiya

aankhon ko band kar ke tasavvur mein baagh ke
gulshan qafas ko murgh-e-giriftaar ne kiya

naalaan hua main us rukh-e-rangin ko dekh kar
bulbul mujhe nazaara-e-gulzaar ne kiya

haklaa ke mujh se baat jo us dil-ruba ne ki
kis husn se ada use takraar ne kiya

ulta udhar naqaab to parde pade idhar
aankhon ko band jalwa-e-deedaar ne kiya

lazzat ko tark kar to ho duniya ka ranj door
parhez bhi dava hai jo beemaar ne kiya

na-saaf aaina ho to bad-tar hai sang se
raushan ye haal ham ko jalaakaar ne kiya

halka ki naaf-e-yaar ke taarif kya karoon
gol aisa dayra nahin parkaar ne kiya

deewaan-e-husn-e-yaar ki aatish jo sair ki
deewaana bait abroo-e-khandaar ne kiya

तुर्रा उसे जो हुस्न-ए-दिल-आज़ार ने किया
अंधेर गेसू-ए-सियह-ए-यार ने किया

गुल से जो सामना तिरे रुख़्सार ने किया
मिज़्गाँ ने वो किया कि जो कुछ ख़ार ने किया

नाज़-ओ-अदा को तर्क मिरे यार ने किया
ग़म्ज़ा नया ये तुर्क सितमगार ने किया

अफ़्शाँ से कुश्ता अबरू-ए-ख़मदार ने किया
जौहर से काम यार की तलवार ने किया

क़ामत तिरी दलील क़यामत की हो गई
काम आफ़्ताब-ए-हश्र का रुख़्सार ने किया

मेरी निगह के रश्क से रौज़न को चाँदी
रख़्ना ये क़स्र-ए-यार की दीवार ने किया

सौदा-ए-ज़ुल्फ़ में मुझे आया ख़याल-ए-रुख़
मुश्ताक़ रौशनी का शब-ए-तार ने किया

हसरत ही बोसा-ए-लब-ए-शीरीं की रह गई
मीठा न मुँह को तेरे नमक-ख़्वार ने किया

फ़ुर्सत मिली न गिर्या से इक लहज़ा इश्क़ में
पानी मिरे लहू को इस आज़ार ने किया

सीमाब की तरह से शगुफ़्ता हुआ मिज़ाज
इक्सीर मुझ को मेरे ख़रीदार ने किया

क़द में तो कर चुका था वो अहमक़ बराबरी
मजबूर सर्व को तिरी रफ़्तार ने किया

हैरत से पा-ब-गिल हुए रौज़न को देख कर
दीवार हम को यार की दीवार ने किया

पत्थर के आगे सज्दा क्या तू ने बरहमन
काफ़िर तुझे तिरे बुत-ए-पिंदार ने किया

काविश मिज़ा ने की रुख़-ए-दिलबर की दीद में
पा-ए-निगाह से भी ख़लिश ख़ार ने किया

आशिक़ की तरह मैं जो लगा करने बंदगी
आज़ाद दाग़ दे के ख़रीदार ने किया

एजाज़ का ओजब लब-ए-जाँ-बख़्श से नहीं
पैग़म्बर उस को मुसहफ़-ए-रुख़्सार ने किया

तुर्रा की तरह से दिल-ए-आशिक़ को पेच में
किस किस लपेट से तिरी दस्तार ने किया

आँखों को बंद कर के तसव्वुर में बाग़ के
गुलशन क़फ़स को मुर्ग़-ए-गिरफ़्तार ने किया

नालाँ हुआ मैं उस रुख़-ए-रनगीं को देख कर
बुलबुल मुझे नज़ारा-ए-गुलज़ार ने किया

हकला के मुझ से बात जो उस दिल-रुबा ने की
किस हुस्न से अदा उसे तकरार ने किया

उल्टा उधर नक़ाब तो पर्दे पड़े इधर
आँखों को बंद जल्वा-ए-दीदार ने किया

लज़्ज़त को तर्क कर तो हो दुनिया का रंज दूर
परहेज़ भी दवा है जो बीमार ने किया

ना-साफ़ आईना हो तो बद-तर है संग से
रौशन ये हाल हम को जलाकार ने किया

हल्क़ा की नाफ़-ए-यार के तारीफ़ क्या करूँ
गोल ऐसा दायरा नहीं परकार ने किया

दीवान-ए-हुस्न-ए-यार की 'आतिश' जो सैर की
दीवाना बैत अबरू-ए-ख़मदार ने किया

  - Haidar Ali Aatish

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari