vahshat-e-dil ne kiya hai vo biyaabaan paida
saikron kos nahin soorat-e-insaan paida
sahar-e-wasl karegi shab-e-hijraan paida
sulb-e-kaafir hi se hota hai musalmaan paida
dil ke aaine mein kar jauhar-e-pinhan paida
dar-o-deewar se ho soorat-e-jaanaan paida
khaar daaman se uljhte hain bahaar aayi hai
chaak karne ko kiya gul ne garebaan paida
nisbat us dast-e-nigaari se nahin kuchh is ko
ye kalaaee to kare panja-e-marjaan paida
nashsha-e-may mein khuli dushmani-e-dost mujhe
aab-e-angoor ne ki aatish-e-pinhan paida
baagh sunsaan na kar in ko pakad kar sayyaad
ba'ad muddat hue hain murgh-e-khush-ilhaan paida
ab qadam se hai mere khaana-e-zanjeer aabaad
mujh ko vehshat ne kiya silsila-jumbaan paida
ro ke aankhon se nikaaloon mein bukhaar-e-dil ko
kar chuke abr-e-mizaa bhi kahi baaraan paida
naara-zan kunj-e-shaheedaan mein ho bulbul ki tarah
aab-e-aahan ne kiya hai ye gulistaan paida
naqsh un ka na kisi laal se lab par baitha
mere munh mein hue the kis liye dandaan paida
khauf na-fahmi-e-mardum se mujhe aata hai
gaav khar hone lage soorat-e-insaan paida
rooh ki tarah se daakhil ho jo deewaana hai
jism-e-khaaki samajh is ko jo ho zindaan paida
be-hijaabon ka magar shehar hai aqlim-e-adam
dekhta hoon jise hota hai vo uryaan paida
ik gul aisa nahin hove na khizaan jis ki bahaar
kaun se waqt hua tha ye gulistaan paida
mojid us ki hai siyah-rozi hamaari aatish
ham na hone to na hoti shab-e-hijraan paida
वहशत-ए-दिल ने किया है वो बयाबाँ पैदा
सैकड़ों कोस नहीं सूरत-ए-इंसाँ पैदा
सहर-ए-वस्ल करेगी शब-ए-हिज्राँ पैदा
सुल्ब-ए-काफ़िर ही से होता है मुसलमाँ पैदा
दिल के आईने में कर जौहर-ए-पिन्हाँ पैदा
दर-ओ-दीवार से हो सूरत-ए-जानाँ पैदा
ख़ार दामन से उलझते हैं बहार आई है
चाक करने को किया गुल ने गरेबाँ पैदा
निस्बत उस दस्त-ए-निगारीं से नहीं कुछ इस को
ये कलाई तो करे पंजा-ए-मर्जां पैदा
नश्शा-ए-मय में खुली दुश्मनी-ए-दोस्त मुझे
आब-ए-अंगूर ने की आतिश-ए-पिन्हाँ पैदा
बाग़ सुनसान न कर इन को पकड़ कर सय्याद
बा'द मुद्दत हुए हैं मुर्ग़-ए-ख़ुश-इल्हाँ पैदा
अब क़दम से है मिरे ख़ाना-ए-ज़ंजीर आबाद
मुझ को वहशत ने किया सिलसिला-जुम्बाँ पैदा
रो के आँखों से निकालूँ में बुख़ार-ए-दिल को
कर चुके अब्र-ए-मिज़ा भी कहीं बाराँ पैदा
नारा-ज़न कुंज-ए-शहीदाँ में हो बुलबुल की तरह
आब-ए-आहन ने किया है ये गुलिस्ताँ पैदा
नक़्श उन का न किसी ला'ल से लब पर बैठा
मेरे मुँह में हुए थे किस लिए दंदाँ पैदा
ख़ौफ़ ना-फ़हमी-ए-मर्दुम से मुझे आता है
गाव ख़र होने लगे सूरत-ए-इंसाँ पैदा
रूह की तरह से दाख़िल हो जो दीवाना है
जिस्म-ए-ख़ाकी समझ इस को जो हो ज़िंदाँ पैदा
बे-हिजाबों का मगर शहर है अक़्लीम-ए-अदम
देखता हूँ जिसे होता है वो उर्यां पैदा
इक गुल ऐसा नहीं होवे न ख़िज़ाँ जिस की बहार
कौन से वक़्त हुआ था ये गुलिस्ताँ पैदा
मोजिद उस की है सियह-रोज़ी हमारी 'आतिश'
हम न होने तो न होती शब-ए-हिज्राँ पैदा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Qaid Shayari Shayari