deewaangi ne kya kya aalam dikha diye hain | दीवानगी ने क्या क्या आलम दिखा दिए हैं - Haidar Ali Aatish

deewaangi ne kya kya aalam dikha diye hain
pariyon ne khidkiyon ke parde utha diye hain

allaah-re farogh us rukhsaar-e-aatishi ka
shamon ke rang misl-e-kaafoor uda diye hain

aatish-nafs hawa hai gulzaar ki hamaare
bijli giri hai gunche jab muskuraa diye hain

sau baar gul ko us ne talvon tale mala hai
katwa ke sarv shamshaad akshar jala diye hain

insaan-e-khoob-roo se baaki rahe tafaavut
is vaaste pari ko do par laga diye hain

abroo-e-kaj se khoon-e-ushshaq kya ajab hai
talwaar ne nishaan-e-lashkar mita diye hain

kis kis ko khoob kahiye allah ne buton ko
kya gosh o chashm kya lab kya dast-o-pa diye hain

be-yaar baam par jo vehshat mein chadh gaya hoon
parnaale rote rote main ne baha diye hain

wasf-e-kamaan-e-abroo jo kijie so kam hai
be-teer bismilon ke toode laga diye hain

roya hoon yaad kar ke main teri tund-khooi
sarsar ne jab charaagh-e-raushan bujha diye hain

soz-e-dil-o-jigar ki shiddat phir aaj-kal hai
phir pahluon ke takie mash'al bana diye hain

shamon ko tu ne dil se parvaanon ke utaara
aankhon se bulbulon ki gulshan gira diye hain

vo baada-kash hoon meri aawaaz-e-paa ko sun kar
sheeshon ne sar huzoor-e-saaghar jhuka diye hain

ashkon se khaana-e-tan aatish kharab hoga
qasr-e-seepiher-e-rifaat baaraan ne dhaa diye hain

दीवानगी ने क्या क्या आलम दिखा दिए हैं
परियों ने खिड़कियों के पर्दे उठा दिए हैं

अल्लाह-रे फ़रोग़ उस रुख़्सार-ए-आतिशीं का
शम्ओं' के रंग मिस्ल-ए-काफ़ूर उड़ा दिए हैं

आतिश-नफ़्स हवा है गुलज़ार की हमारे
बिजली गिरी है ग़ुंचे जब मुस्कुरा दिए हैं

सौ बार गुल को उस ने तलवों तले मला है
कटवा के सर्व शमशाद अक्सर जला दिए हैं

इंसान-ए-ख़ूब-रू से बाक़ी रहे तफ़ावुत
इस वास्ते परी को दो पर लगा दिए हैं

अबरू-ए-कज से ख़ून-ए-उश्शाक़ क्या अजब है
तलवार ने निशान-ए-लश्कर मिटा दिए हैं

किस किस को ख़ूब कहिए अल्लाह ने बुतों को
क्या गोश ओ चश्म क्या लब क्या दस्त-ओ-पा दिए हैं

बे-यार बाम पर जो वहशत में चढ़ गया हूँ
परनाले रोते रोते मैं ने बहा दिए हैं

वस्फ़-ए-कमान-ए-अबरू जो कीजिए सो कम है
बे-तीर बिस्मिलों के तूदे लगा दिए हैं

रोया हूँ याद कर के मैं तेरी तुंद-ख़ूई
सरसर ने जब चराग़-ए-रौशन बुझा दिए हैं

सोज़-ए-दिल-ओ-जिगर की शिद्दत फिर आज-कल है
फिर पहलुओं के तकिए मशअ'ल बना दिए हैं

शम्ओं' को तू ने दिल से परवानों के उतारा
आँखों से बुलबुलों की गुलशन गिरा दिए हैं

वो बादा-कश हूँ मेरी आवाज़-ए-पा को सुन कर
शीशों ने सर हुज़ूर-ए-साग़र झुका दिए हैं

अश्कों से ख़ाना-ए-तन 'आतिश' ख़राब होगा
क़स्र-ए-सीपिहर-ए-रिफ़अत बाराँ ने ढा दिए हैं

- Haidar Ali Aatish
0 Likes

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari