kaam himmat se jawaan mard agar leta hai | काम हिम्मत से जवाँ मर्द अगर लेता है

  - Haidar Ali Aatish

kaam himmat se jawaan mard agar leta hai
saanp ko maar ke ganjeena-e-zar leta hai

naa-gawaara ko jo karta hai gawara insaan
zahar pee kar mazaa-e-sheer-o-shakar leta hai

haale mein maah ka hota hai chakoron ko yaqeen
kabhi angadaai jo vo rashk-e-qamar leta hai

vo zuboo-bakhs shajar hoon main ki dahkaan mera
peeche bota hai mujhe pehle tabar leta hai

manzil-e-faqr-o-fanaa jaa-e-adab hai ghaafil
baadshah takht se yaa apne utar leta hai

ganj-e-pinhaan hain tasarruf mein bani-aadam ke
kaan se laal ye dariya se guhar leta hai

nazar aa jaata hai ai gul jise rukhsaar tira
phoolon se daaman-e-nazzaara vo bhar leta hai

aql kar deti hai insaan ki jahaalat zaail
maut se jaan chhupaane ko sipar leta hai

yaad rakhta hai adam mein koi saaghar-kash use
hichakiyaan sheesha-e-may shaam-o-sehar leta hai

ghairat-e-naala-o-fariyaad na kho ai aatish
aashna koi nahin kaun khabar leta hai

काम हिम्मत से जवाँ मर्द अगर लेता है
साँप को मार के गंजीना-ए-ज़र लेता है

ना-गवारा को जो करता है गवारा इंसाँ
ज़हर पी कर मज़ा-ए-शीर-ओ-शकर लेता है

हाले में माह का होता है चकोरों को यक़ीं
कभी अंगड़ाई जो वो रश्क-ए-क़मर लेता है

वो ज़ुबू-बख़्स शजर हूँ मैं कि दहक़ाँ मेरा
पीछे बोता है मुझे पहले तबर लेता है

मंज़िल-ए-फ़क़्र-ओ-फ़ना जा-ए-अदब है ग़ाफ़िल
बादशह तख़्त से याँ अपने उतर लेता है

गंज-ए-पिन्हाँ हैं तसर्रुफ़ में बनी-आदम के
कान से लाल ये दरिया से गुहर लेता है

नज़र आ जाता है ऐ गुल जिसे रुख़्सार तिरा
फूलों से दामन-ए-नज़्ज़ारा वो भर लेता है

अक़्ल कर देती है इंसाँ की जहालत ज़ाइल
मौत से जान छुपाने को सिपर लेता है

याद रखता है अदम में कोई साग़र-कश उसे
हिचकियाँ शीशा-ए-मय शाम-ओ-सहर लेता है

ग़ैरत-ए-नाला-ओ-फ़रियाद न खो ऐ 'आतिश'
आश्ना कोई नहीं कौन ख़बर लेता है

  - Haidar Ali Aatish

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari