jauhar nahin hamaare hain sayyaad par khule | जौहर नहीं हमारे हैं सय्याद पर खुले

  - Haidar Ali Aatish

jauhar nahin hamaare hain sayyaad par khule
le kar qafas ko ud gaye rakha jo par khule

sheeshe sharaab ke rahein aathon pahar khule
aisa ghire ki phir na kabhi abr-e-tar khule

kuchh to hamein haqeeqat-e-shams-o-qamar khule
kis kaj-kulah ke ishq mein firte hain sar khule

insaaf ko hain deeda-e-ahl-e-nazar khule
parda utha ki pardaa-e-shams-o-qamar khule

rangrez ki dukaaan mein bhare hoon hazaar rang
turra vo hai jo yaar ki dastaar par khule

kya cheez hai ibaarat-e-rangeen mein sharh-e-shauq
khat ki tarah tabee'at-e-basta agar khule

jo chahein yaar se kahi aghyaar gham nahin
khwaaja ko hain ghulaam ke aib-o-hunar khule

hawaan par aadmi ko sharf nutq se hua
shukr-e-khuda kare jo zabaan-e-bashar khule

yusuf ki ik dukaaan mein na tu ne talash ki
bazaar kaun kaun se ai be-khabar khule

sheerin-dahan se tere ta'ajjub hai guftugoo
ejaz hai agar girh-e-naishkar khule

kat jaaye vo zabaan na ho jis se duaa-e-khair
phoote vo aankh jo ki na waqt-e-sehr khule

kotah hai is qadar mere qad par ridaa-e-aish
dhaankoon jo paanv ko to yaqeen hai ki sar khule

qaateel jazaa-e-khair mile teri teg ko
zakhamon ke munh khule nahin jannat ke dar khule

fasl-e-bahaar aayi hai chalta hai daur-e-jaam
mugh ki dukaan shaam khule ya sehar khule

paa-posh ham ne maari hai dastaar-o-taaj par
sauda-e-zulf-e-yaar mein rahte hain sar khule

kaif-e-sharaab-e-naab ka anjaam ho b-khair
shalwaar-band saaqi-e-rashk-e-qamar khule

naa-khwaanda sharh-e-shauq jalaae gaye khutoot
baandhe gaye vo jo ki mere nama-bar khule

chahe safa tu saath tahaarat ke zikr kar
parhez kar to tujh ko dava ka asar khule

hans kar dikhaaye daant jo ham ko to kya hua
le leejie jo qeemat-e-silk-e-guhar khule

kehta hoon raaz-e-ishq magar saath shart ke
kaanon hi tak rahe na zabaan ko khabar khule

mushtaaq bandishon ke hain khwaabon ko chahiye
bandhvaayein shaayaron se jo un ki kamar khule

rukti na us se chot na chalti ye qaatila
haathon se tere jauhar-e-tegh-o-sipar khule

matlab na sarnavisht ka samjha tu shukr kar
deewaana ho jo haal-e-qaza-o-qadar khule

chalna padega yaar ki khidmat mein sar ke bal
samjhe ho kya jo baithe ho aatish kamar khule

जौहर नहीं हमारे हैं सय्याद पर खुले
ले कर क़फ़स को उड़ गए रक्खा जो पर खुले

शीशे शराब के रहें आठों पहर खुले
ऐसा घिरे कि फिर न कभी अब्र-ए-तर खुले

कुछ तो हमें हक़ीक़त-ए-शम्स-ओ-क़मर खुले
किस कज-कुलह के इश्क़ में फिरते हैं सर खुले

इंसाफ़ को हैं दीदा-ए-अहल-ए-नज़र खुले
पर्दा उठा कि पर्दा-ए-शम्स-ओ-क़मर खुले

रंगरेज़ की दुकाँ में भरे हूँ हज़ार रंग
तुर्रा वो है जो यार की दस्तार पर खुले

क्या चीज़ है इबारत-ए-रंगीं में शरह-ए-शौक़
ख़त की तरह तबीअत-ए-बस्ता अगर खुले

जो चाहें यार से कहीं अग़्यार ग़म नहीं
ख़्वाजा को हैं ग़ुलाम के ऐब-ओ-हुनर खुले

हैवाँ पर आदमी को शरफ़ नुत्क़ से हुआ
शुक्र-ए-ख़ुदा करे जो ज़बान-ए-बशर खुले

यूसुफ़ की इक दुकाँ में न तू ने तलाश की
बाज़ार कौन कौन से ऐ बे-ख़बर खुले

शीरीं-दहन से तेरे तअज्जुब है गुफ़्तुगू
एजाज़ है अगर गिरह-ए-नैशकर खुले

कट जाए वो ज़बाँ न हो जिस से दुआ-ए-ख़ैर
फूटे वो आँख जो कि न वक़्त-ए-सहर खुले

कोतह है इस क़दर मिरे क़द पर रिदा-ए-ऐश
ढाँकूँ जो पाँव को तो यक़ीं है कि सर खुले

क़ातिल जज़ा-ए-ख़ैर मिले तेरी तेग़ को
ज़ख़्मों के मुँह खुले नहीं जन्नत के दर खुले

फ़स्ल-ए-बहार आई है चलता है दौर-ए-जाम
मुग़ की दुकान शाम खुले या सहर खुले

पा-पोश हम ने मारी है दस्तार-ओ-ताज पर
सौदा-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार में रहते हैं सर खुले

कैफ़-ए-शराब-ए-नाब का अंजाम हो ब-ख़ैर
शलवार-बंद साक़ी-ए-रश्क-ए-क़मर खुले

ना-ख़्वांदा शरह-ए-शौक़ जलाए गए ख़ुतूत
बाँधे गए वो जो कि मिरे नामा-बर खुले

चाहे सफ़ा तू साथ तहारत के ज़िक्र कर
परहेज़ कर तो तुझ को दवा का असर खुले

हँस कर दिखाए दाँत जो हम को तो क्या हुआ
ले लीजिए जो क़ीमत-ए-सिल्क-ए-गुहर खुले

कहता हूँ राज़-ए-इश्क़ मगर साथ शर्त के
कानों ही तक रहे न ज़बाँ को ख़बर खुले

मुश्ताक़ बंदिशों के हैं ख़्वाबों को चाहिए
बंधवाएँ शायरों से जो उन की कमर खुले

रुकती न उस से चोट न चलती ये क़ातिला
हाथों से तेरे जौहर-ए-तेग़-ओ-सिपर खुले

मतलब न सरनविश्त का समझा तू शुक्र कर
दीवाना हो जो हाल-ए-क़ज़ा-ओ-क़दर खुले

चलना पड़ेगा यार की ख़िदमत में सर के बल
समझे हो क्या जो बैठे हो 'आतिश' कमर खुले

  - Haidar Ali Aatish

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari