fareb-e-husn se gabr-o-muslmaan ka chalan bigda | फ़रेब-ए-हुस्न से गब्र-ओ-मुसलमाँ का चलन बिगड़ा - Haidar Ali Aatish

fareb-e-husn se gabr-o-muslmaan ka chalan bigda
khuda ki yaad bhoola shaikh but se brahman bigda

qaba-e-gul ko faara jab mera gul-pairhan bigda
ban aayi kuch na gunche se jo vo guncha-dahan bigda

nahin be-wajah hansna is qadar zakhm-e-shaheedaan ka
tiri talwaar ka munh kuch na kuch ai tegh-zan bigda

takalluf kya jo khoi jaan-e-sheereen phod kar sar ko
jo thi ghairat to phir khusarav se hota kohkan bigda

kisi chashm-e-siyah ka jab hua saabit main deewaana
tu mujh se sust haathi ki tarah jungli hiran bigda

asar ikseer ka yum-e-qadam se teri paaya hai
jozaami khaak-e-rah mal kar banaate hain badan bigda

tiri taqleed se kabk-e-dari ne thokren khaaiin
chala jab jaanwar insaan ki chaal us ka chalan bigda

zawaal husn khilvaata hai meve ki qasam mujh se
lagaaya daagh khat ne aan kar seb-e-zakqan bigda

rukh-e-saada nahin us shokh ka naqsh-e-adaawat se
nazar aate hi aapas mein har ahl-e-anjuman bigda

jo bad-khoo tifl-e-ashk ai chashm-e-tar hain dekhna ik din
gharaunde ki tarah se gumbad-e-charkh-e-kuhan bigda

saf-e-mizgaan ki jumbish ka kiya iqbaal ne kushta
shaheedon ke hue saalar jab ham se tuman bigda

kisi ki jab koi taqleed karta hai main rota hoon
hansa gul ki tarah guncha jahaan us ka dehan bigda

kamaal-e-dosti andesha-e-dushman nahin rakhta
kisi bhanware se kis din koi maar-e-yaasman bigda

rahi nafrat hamesha daagh-e-uryaani ko faaye se
hua jab qat'a jaama par hamaare pairhan bigda

ragadwaaiyen ye mujh se ediyaan gurbat mein vehshat ne
hua masdood rasta jaada-e-raah-e-watan bigda

kaha bulbul ne jab toda gul-e-sousan ko gulchein ne
ilaahi khair keejo neel-e-rukh'saar-e-chaman bigda

iraada mere khaane ka na ai zaagh-o-zagn keejo
vo kushta hoon jise soonghe se kutto ka badan bigda

amaanat ki tarah rakha zameen ne roz-e-mahshar tak
na ik moo kam hua apna na ik taar-e-kafan bigda

jahaan khaali nahin rehta kabhi eeza-dahindo se
hua nusoore-nao paida agar zakhm-e-kuhan bigda

tawangar tha bani thi jab tak us mehboob-e-aalam se
main muflis ho gaya jis roz se vo seem-tan bigda

lage munh bhi chidhaane dete dete gaaliyaan sahab
zabaan bigdi to bigdi thi khabar lijye dehan bigda

banaavat kaif-e-may se khul gai us shokh ki aatish
laga kar munh se paimaane ko vo paimaan-shikan bigda

फ़रेब-ए-हुस्न से गब्र-ओ-मुसलमाँ का चलन बिगड़ा
ख़ुदा की याद भूला शैख़ बुत से बरहमन बिगड़ा

क़बा-ए-गुल को फाड़ा जब मिरा गुल-पैरहन बिगड़ा
बन आई कुछ न ग़ुंचे से जो वो ग़ुंचा-दहन बिगड़ा

नहीं बे-वजह हँसना इस क़दर ज़ख़्म-ए-शहीदाँ का
तिरी तलवार का मुँह कुछ न कुछ ऐ तेग़-ज़न बिगड़ा

तकल्लुफ़ क्या जो खोई जान-ए-शीरीं फोड़ कर सर को
जो थी ग़ैरत तो फिर ख़ुसरव से होता कोहकन बिगड़ा

किसी चश्म-ए-सियह का जब हुआ साबित मैं दीवाना
तू मुझ से सुस्त हाथी की तरह जंगली हिरन बिगड़ा

असर इक्सीर का युम्न-ए-क़दम से तेरी पाया है
जोज़ामी ख़ाक-ए-रह मल कर बनाते हैं बदन बिगड़ा

तिरी तक़लीद से कब्क-ए-दरी ने ठोकरें खाईं
चला जब जानवर इंसाँ की चाल उस का चलन बिगड़ा

ज़वाल हुस्न खिलवाता है मेवे की क़सम मुझ से
लगाया दाग़ ख़त ने आन कर सेब-ए-ज़क़न बिगड़ा

रुख़-ए-सादा नहीं उस शोख़ का नक़्श-ए-अदावत से
नज़र आते ही आपस में हर अहल-ए-अंजुमन बिगड़ा

जो बद-ख़ू तिफ़्ल-ए-अश्क ऐ चश्म-ए-तर हैं देखना इक दिन
घरौंदे की तरह से गुम्बद-ए-चर्ख़-ए-कुहन बिगड़ा

सफ़-ए-मिज़्गाँ की जुम्बिश का किया इक़बाल ने कुश्ता
शहीदों के हुए सालार जब हम से तुमन बिगड़ा

किसी की जब कोई तक़लीद करता है मैं रोता हूँ
हँसा गुल की तरह ग़ुंचा जहाँ उस का दहन बिगड़ा

कमाल-ए-दोस्ती अंदेशा-ए-दुश्मन नहीं रखता
किसी भँवरे से किस दिन कोई मार-ए-यास्मन बिगड़ा

रही नफ़रत हमेशा दाग़-ए-उर्यानी को फाए से
हुआ जब क़त्अ जामा पर हमारे पैरहन बिगड़ा

रगड़वाईं ये मुझ से एड़ियाँ ग़ुर्बत में वहशत ने
हुआ मसदूद रस्ता जादा-ए-राह-ए-वतन बिगड़ा

कहा बुलबुल ने जब तोड़ा गुल-ए-सौसन को गुलचीं ने
इलाही ख़ैर कीजो नील-ए-रुख़्सार-ए-चमन बिगड़ा

इरादा मेरे खाने का न ऐ ज़ाग़-ओ-ज़ग़्न कीजो
वो कुश्ता हूँ जिसे सूँघे से कुत्तों का बदन बिगड़ा

अमानत की तरह रक्खा ज़मीं ने रोज़-ए-महशर तक
न इक मू कम हुआ अपना न इक तार-ए-कफ़न बिगड़ा

जहाँ ख़ाली नहीं रहता कभी ईज़ा-दहिंदों से
हुआ नासूर-ए-नौ पैदा अगर ज़ख़्म-ए-कुहन बिगड़ा

तवंगर था बनी थी जब तक उस महबूब-ए-आलम से
मैं मुफ़्लिस हो गया जिस रोज़ से वो सीम-तन बिगड़ा

लगे मुँह भी चिढ़ाने देते देते गालियाँ साहब
ज़बाँ बिगड़ी तो बिगड़ी थी ख़बर लीजे दहन बिगड़ा

बनावट कैफ़-ए-मय से खुल गई उस शोख़ की 'आतिश'
लगा कर मुँह से पैमाने को वो पैमाँ-शिकन बिगड़ा

- Haidar Ali Aatish
0 Likes

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari