husn-e-paree ik jalwa-e-mastaana hai us ka | हुस्न-ए-परी इक जल्वा-ए-मस्ताना है उस का

  - Haidar Ali Aatish

husn-e-paree ik jalwa-e-mastaana hai us ka
hushyaar wahi hai ki jo deewaana hai us ka

gul aate hain hasti mein adam se hama-tan-gosh
bulbul ka ye naala nahin afsaana hai us ka

giryaa hai agar sham'a to sar dhunta hai shola
maaloom hua sokhta-parwaana hai us ka

vo shokh nihaan-ganj ki maanind hai us mein
maamoora-e-aalam jo hai veeraana hai us ka

jo chashm ki hairaan hui aaina hai us ki
jo seena ki sad chaak hua shaana hai us ka

dil qasr-e-shahenshah hai vo shokh us mein shahenshah
arsa ye do aalam ka jilau khaana hai us ka

vo yaad hai us ki ki bhula de do jahaan ko
haalat ko kare gair vo yaaraana hai us ka

yusuf nahin jo haath lage chand diram se
qeemat jo do aalam ki hai bai'aana hai us ka

aavargi-e-nikhat-e-gul hai ye ishaara
jaame se vo baahar hai jo deewaana hai us ka

ye haal hua us ke faqeeron se huwaida
aalooda-e-duniya jo hai begaana hai us ka

shukraana-e-saaqi-e-azl karta hai aatish
labreiz may-e-shauq se paimaana hai us ka

हुस्न-ए-परी इक जल्वा-ए-मस्ताना है उस का
हुश्यार वही है कि जो दीवाना है उस का

गुल आते हैं हस्ती में अदम से हमा-तन-गोश
बुलबुल का ये नाला नहीं अफ़्साना है उस का

गिर्यां है अगर शम्अ तो सर धुनता है शोला
मालूम हुआ सोख़्ता-परवाना है उस का

वो शोख़ निहाँ-गंज की मानिंद है उस में
मामूरा-ए-आलम जो है वीराना है उस का

जो चश्म कि हैराँ हुई आईना है उस की
जो सीना कि सद चाक हुआ शाना है उस का

दिल क़स्र-ए-शहंशह है वो शोख़ उस में शहंशाह
अर्सा ये दो आलम का जिलौ ख़ाना है उस का

वो याद है उस की कि भुला दे दो जहाँ को
हालत को करे ग़ैर वो याराना है उस का

यूसुफ़ नहीं जो हाथ लगे चंद दिरम से
क़ीमत जो दो आलम की है बैआना है उस का

आवरगी-ए-निकहत-ए-गुल है ये इशारा
जामे से वो बाहर है जो दीवाना है उस का

ये हाल हुआ उस के फ़क़ीरों से हुवैदा
आलूदा-ए-दुनिया जो है बेगाना है उस का

शुकराना-ए-साक़ी-ए-अज़ल करता है 'आतिश'
लबरेज़ मय-ए-शौक़ से पैमाना है उस का

  - Haidar Ali Aatish

Berozgari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Berozgari Shayari Shayari