kya kya na rang tere talabgaar la chuke | क्या क्या न रंग तेरे तलबगार ला चुके

  - Haidar Ali Aatish

kya kya na rang tere talabgaar la chuke
maston ko josh sufiyon ko haal aa chuke

hasti ko misl-e-naqsh-e-kaf-e-paa mita chuke
aashiq naqaab-e-shaahid-e-maqsood utha chuke

kaabe se dair dair se kaabe ko ja chuke
kya kya na is do-raahe mein ham fer kha chuke

gustaakh haath tauqe-e-kamar yaar ke hue
hadd-e-adab se paanv ko aage badha chuke

kanaan se sheher-e-misr mein yusuf ko le gaye
bazaar mein bhi husn ko aakhir dikha chuke

pahunchen tadap tadap ke bhi jallaad tak na ham
taqat se haath paanv ziyaada hila chuke

hoti hai tan mein rooh payaam-e-ajal se shaad
din waada-e-visaal ke nazdeek aa chuke

paimaana meri umr ka labreiz ho kahi
saaqi mujhe bhi ab to pyaala pila chuke

deewaana jaante hain tira hoshyaar unhen
jaame ko jism ke bhi jo purze uda chuke

be-wajah har dam aaina peshe-e-nazar nahin
samjhe ham aap aankhon mein apni samaa chuke

us dilruba se vasl hua de ke jaan ko
yusuf ko mol le chuke qeemat chuka chuke

utha naqaab chehra-e-zeba-e-yaar se
deewaar darmiyaan jo thi ham us ko dhaa chuke

zer-e-zameen bhi tadpenge ai aasmaan-e-husn
betaab tere gor mein bhi chain pa chuke

aaraish-e-jamaal bala ka nuzool hai
andher kar diya jo vo missee laga chuke

do abroo aur do lab-e-jaan-baksh yaar ke
zindon ko qatl kar chuke murde jila chuke

majboor kar diya hai mohabbat ne yaar ki
baahar ham ikhtiyaar se hain apne ja chuke

sadmon ne ishq-e-husn ke dam kar diya fana
aatish saza gunaah-e-mohabbat ki pa chuke

क्या क्या न रंग तेरे तलबगार ला चुके
मस्तों को जोश सूफ़ियों को हाल आ चुके

हस्ती को मिस्ल-ए-नक़्श-ए-कफ़-ए-पा मिटा चुके
आशिक़ नक़ाब-ए-शाहिद-ए-मक़्सूद उठा चुके

काबे से दैर दैर से काबे को जा चुके
क्या क्या न इस दो-राहे में हम फेर खा चुके

गुस्ताख़ हाथ तौक़े-ए-कमर यार के हुए
हद्द-ए-अदब से पाँव को आगे बढ़ा चुके

कनआँ से शहर-ए-मिस्र में यूसुफ़ को ले गए
बाज़ार में भी हुस्न को आख़िर दिखा चुके

पहुँचे तड़प तड़प के भी जल्लाद तक न हम
ताक़त से हाथ पाँव ज़ियादा हिला चुके

होती है तन में रूह पयाम-ए-अजल से शाद
दिन वादा-ए-विसाल के नज़दीक आ चुके

पैमाना मेरी उम्र का लबरेज़ हो कहीं
साक़ी मुझे भी अब तो प्याला पिला चुके

दीवाना जानते हैं तिरा होश्यार उन्हें
जामे को जिस्म के भी जो पुर्ज़े उड़ा चुके

बे-वजह हर दम आइना पेश-ए-नज़र नहीं
समझे हम आप आँखों में अपनी समा चुके

उस दिलरुबा से वस्ल हुआ दे के जान को
यूसुफ़ को मोल ले चुके क़ीमत चुका चुके

उट्ठा नक़ाब चेहरा-ए-ज़ेबा-ए-यार से
दीवार दरमियाँ जो थी हम उस को ढा चुके

ज़ेर-ए-ज़मीं भी तड़पेंगे ऐ आसमान-ए-हुस्न
बेताब तेरे गोर में भी चैन पा चुके

आराइश-ए-जमाल बला का नुज़ूल है
अंधेर कर दिया जो वो मिस्सी लगा चुके

दो अबरू और दो लब-ए-जाँ-बख़्श यार के
ज़िंदों को क़त्ल कर चुके मुर्दे जिला चुके

मजबूर कर दिया है मोहब्बत ने यार की
बाहर हम इख़्तियार से हैं अपने जा चुके

सदमों ने इश्क़-ए-हुस्न के दम कर दिया फ़ना
'आतिश' सज़ा गुनाह-ए-मोहब्बत की पा चुके

  - Haidar Ali Aatish

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari