aisi vehshat nahin dil ko ki sambhal jaaunga | ऐसी वहशत नहीं दिल को कि सँभल जाऊँगा - Haidar Ali Aatish

aisi vehshat nahin dil ko ki sambhal jaaunga
soorat-e-pairhan-e-tang nikal jaaunga

vo nahin hoon ki rukhaai se jo tal jaaunga
aaj jaata tha to zid se tiri kal jaaunga

shaam-e-hijraan kisi soorat se nahin hoti subh
munh chhupa kar main andhere mein nikal jaaunga

kheench kar teg kamar se kise dikhlaate ho
naaf-e-maashooq nahin hoon jo main tal jaaunga

shab-e-hijr apni siyaahi kise dikhlaati hai
kuch main ladka to nahin hoon ki dahal jaaunga

koocha-e-yaar ka sauda hai mere sar ke saath
paanv thak thak ke hon har-chand ki shal jaaunga

zabt-e-betaabi-e-dil ki nahin taqat baaki
koh-e-sabr ab ye sada deta hai tal jaaunga

taale-e-bad ke asar se ye yaqeen hai mujh ko
teri hasrat hi mein ai husn-e-amal jaaunga

chaar din zeest ke guzarenge ta'assuf mein mujhe
haal-e-dil par kaf-e-afsos main mal jaaunga

shola-ruyon ko na dikhlaao mujhe ai aankhon
mom se narm mera dil hai pighal jaaunga

haal-e-peeri kise ma'aloom jawaani mein tha
kya samajhta tha main do din mein badal jaaunga

wahi deewaangi meri hai bahaar aane do
dekh kar ladkon ki soorat ko bahl jaaunga

sher dhalti hain meri fikr se aaj ai aatish
mar ke kal gor ke saanche mein main dhal jaaunga

ऐसी वहशत नहीं दिल को कि सँभल जाऊँगा
सूरत-ए-पैरहन-ए-तंग निकल जाऊँगा

वो नहीं हूँ कि रुखाई से जो टल जाऊँगा
आज जाता था तो ज़िद से तिरी कल जाऊँगा

शाम-ए-हिज्राँ किसी सूरत से नहीं होती सुब्ह
मुँह छुपा कर मैं अँधेरे में निकल जाऊँगा

खींच कर तेग़ कमर से किसे दिखलाते हो
नाफ़-ए-माशूक़ नहीं हूँ जो मैं टल जाऊँगा

शब-ए-हिज्र अपनी सियाही किसे दिखलाती है
कुछ मैं लड़का तो नहीं हूँ कि दहल जाऊँगा

कूचा-ए-यार का सौदा है मिरे सर के साथ
पाँव थक थक के हों हर-चंद कि शल जाऊँगा

ज़ब्त-ए-बेताबी-ए-दिल की नहीं ताक़त बाक़ी
कोह-ए-सब्र अब ये सदा देता है टल जाऊँगा

ताले-ए-बद के असर से ये यक़ीं है मुझ को
तेरी हसरत ही में ऐ हुस्न-ए-अमल जाऊँगा

चार दिन ज़ीस्त के गुज़़रेंगे तअस्सुफ़ में मुझे
हाल-ए-दिल पर कफ़-ए-अफ़्सोस मैं मल जाऊँगा

शो'ला-रूयों को न दिखलाओ मुझे ऐ आँखो
मोम से नर्म मिरा दिल है पिघल जाऊँगा

हाल-ए-पीरी किसे मा'लूम जवानी में था
क्या समझता था मैं दो दिन में बदल जाऊँगा

वही दीवानगी मेरी है बहार आने दो
देख कर लड़कों की सूरत को बहल जाऊँगा

शेर ढलते हैं मिरी फ़िक्र से आज ऐ 'आतिश'
मर के कल गोर के साँचे में मैं ढल जाऊँगा

- Haidar Ali Aatish
0 Likes

Hausla Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Hausla Shayari Shayari