ye kis rashk-e-masiha ka makaan hai
zameen yaa ki chahaarum aasmaan hai
khuda pinhaan hai aalam aashkaara
nihaan hai ganj veeraana ayaan hai
dil-e-raushan hai raushan-gar ki manzil
ye aaina sikandar ka makaan hai
takalluf se bari hai husn-e-zaati
qaba-e-gul mein gul-boota kahaan hai
pasejega kabhi to dil kisi ka
hamesha apni aahon ka dhuaan hai
b-rang-e-boo hoon gulshan mein main bulbul
baghal gunche ke mera aashiyaan hai
shagufta rahti hai khaatir hamesha
qana'at bhi bahaar-e-be-khizan hai
chaman ki sair par hota hai jhagda
kamar meri hai dast-e-baagbaan hai
bahut aata hai yaad ai sabr-e-miskeen
khuda khush rakhe tujh ko tu jahaan hai
ilaahi ek dil kis kis ko doon main
hazaaron but hain yaa hindostaan hai
yaqeen hota hai khushbooi se is ke
kisi gul-roo ka guncha itr-daan hai
watan mein apne ahl-e-shauq ki tarah
safar mein roz-o-shab reg-e-ravaan hai
sehar hove kahi shabnam kare kooch
gul o bulbul ka dariya darmiyaan hai
saadat-mand qismat par hain shaakir
huma ko maghz-e-baadaam ustukhwaan hai
dil-e-betaab jo is mein gire hain
zaqan jaanaan ka paara ka kuaan hai
jars ke saath dil rahte hain naalaan
mere yusuf ka aashiq kaarwaan hai
na kah rindon ko harf-e-sakht wa'iz
durusht ahl-e-jahannum ki zabaan hai
qad-e-mahboob ko shaayar kahein sarv
qayamat ka ye ai aatish nishaan hai
ये किस रश्क-ए-मसीहा का मकाँ है
ज़मीं याँ की चहारुम आसमाँ है
ख़ुदा पिन्हाँ है आलम आश्कारा
निहाँ है गंज वीराना अयाँ है
दिल-ए-रौशन है रौशन-गर की मंज़िल
ये आईना सिकंदर का मकाँ है
तकल्लुफ़ से बरी है हुस्न-ए-ज़ाती
क़बा-ए-गुल में गुल-बूटा कहाँ है
पसीजेगा कभी तो दिल किसी का
हमेशा अपनी आहों का धुआँ है
ब-रंग-ए-बू हूँ गुलशन में मैं बुलबुल
बग़ल ग़ुंचे के मेरा आशियाँ है
शगुफ़्ता रहती है ख़ातिर हमेशा
क़नाअ'त भी बहार-ए-बे-ख़िज़ाँ है
चमन की सैर पर होता है झगड़ा
कमर मेरी है दस्त-ए-बाग़बाँ है
बहुत आता है याद ऐ सब्र-ए-मिस्कीं
ख़ुदा ख़ुश रक्खे तुझ को तू जहाँ है
इलाही एक दिल किस किस को दूँ मैं
हज़ारों बुत हैं याँ हिन्दोस्ताँ है
यक़ीं होता है ख़ुशबूई से इस के
किसी गुल-रू का ग़ुंचा इत्र-दाँ है
वतन में अपने अहल-ए-शौक़ की तरह
सफ़र में रोज़-ओ-शब रेग-ए-रवाँ है
सहर होवे कहीं शबनम करे कूच
गुल ओ बुलबुल का दरिया दरमियाँ है
सआदत-मंद क़िस्मत पर हैं शाकिर
हुमा को मग़्ज़-ए-बादाम उस्तुख़्वाँ है
दिल-ए-बेताब जो इस में गिरे हैं
ज़क़न जानाँ का पारा का कुआँ है
जरस के साथ दिल रहते हैं नालाँ
मिरे यूसुफ़ का आशिक़ कारवाँ है
न कह रिंदों को हर्फ़-ए-सख़्त वाइ'ज़
दुरुश्त अहल-ए-जहन्नुम की ज़बाँ है
क़द-ए-महबूब को शाएर कहें सर्व
क़यामत का ये ऐ 'आतिश' निशाँ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Cigarette Shayari Shayari