mohabbat ka tiri banda har ik ko ai sanam paaya | मोहब्बत का तिरी बंदा हर इक को ऐ सनम पाया

  - Haidar Ali Aatish

mohabbat ka tiri banda har ik ko ai sanam paaya
barabar gardan-e-shaah-o-gadaa dono ko kham paaya

b-rang-e-sham'a jis nay dil jalaya teri doori main
to us nay manzil-e-maqsood ko zer-e-qadam paaya

baja karte hain aashiq taq-e-abroo ki parastaari
yahi mehrab-e-dair-o-kaaba mein bhi ham ne kham paaya

nishaana teer-e-tohmat ka hai mera akhtar-e-taale
uthaaun daagh main to aasmaan samjhe diram paaya

hazaaron hasratein jaavengi mere saath duniya se
sharaar-o-bark se bhi arsaa-e-hasti ko kam paaya

sivaae ranj kuchh haasil nahin hai is kharaabe main
ghaneemat jaan jo aaraam tu ne koi dam paaya

nazar aaya tamasha-e-jahaan jab band keen aankhen
safaa-e-qalb se pahluu mein ham ne jaam-e-jam paaya

jalaya aur maara husn ki nairang-saazi ne
kabhi barq-e-ghazab us ko kabhi abr-e-karam paaya

firaq-anjaam kaam aaghaaz-e-waslat ka bila shak hai
bahut roya main rooh-o-tan ko jab mushtaaq ham paaya

har ik jauhar mein us ka naqsh-e-paa-e-raftagaan samjha
dam-e-shamsheer-e-qaatil jaada-e-raah-e-adam paaya

hamaara kaaba-e-maqsud tera taq-e-abroo hai
tiri chashm-e-siyah ko ham ne aahu-e-haram paaya

hua hargiz na khatt-e-shauq ka saamaan durust aatish
siyaahi ho gai naayaab agar ham ne qalam paaya

मोहब्बत का तिरी बंदा हर इक को ऐ सनम पाया
बराबर गर्दन-ए-शाह-ओ-गदा दोनों को ख़म पाया

ब-रंग-ए-शम्अ जिस नय दिल जलाया तेरी दूरी मैं
तो उस नय मंज़िल-ए-मक़्सूद को ज़ेर-ए-क़दम पाया

बजा करते हैं आशिक़ ताक़-ए-अबरू की परस्तारी
यही मेहराब-ए-दैर-ओ-काबा में भी हम ने ख़म पाया

निशाना तीर-ए-तोहमत का है मेरा अख़्तर-ए-ताले
उठाऊँ दाग़ मैं तो आसमाँ समझे दिरम पाया

हज़ारों हसरतें जावेंगी मेरे साथ दुनिया से
शरार-ओ-बर्क़ से भी अरसा-ए-हस्ती को कम पाया

सिवाए रंज कुछ हासिल नहीं है इस ख़राबे मैं
ग़नीमत जान जो आराम तू ने कोई दम पाया

नज़र आया तमाशा-ए-जहाँ जब बंद कीं आँखें
सफ़ा-ए-क़ल्ब से पहलू में हम ने जाम-ए-जम पाया

जलाया और मारा हुस्न की नैरंग-साज़ी ने
कभी बर्क़-ए-ग़ज़ब उस को कभी अब्र-ए-करम पाया

फ़िराक़-अंजाम काम आग़ाज़-ए-वसलत का बिला शक है
बहुत रोया मैं रूह-ओ-तन को जब मुश्ताक़ हम पाया

हर इक जौहर में उस का नक़्श-ए-पा-ए-रफ़्तगाँ समझा
दम-ए-शमशीर-ए-क़ातिल जादा-ए-राह-ए-अदम पाया

हमारा काबा-ए-मक़्सूद तेरा ताक़-ए-अबरू है
तिरी चश्म-ए-सियह को हम ने आहु-ए-हरम पाया

हुआ हरगिज़ न ख़त्त-ए-शौक़ का सामाँ दुरुस्त 'आतिश'
सियाही हो गई नायाब अगर हम ने क़लम पाया

  - Haidar Ali Aatish

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari