na-fahmi apni parda hai deedaar ke liye | ना-फ़हमी अपनी पर्दा है दीदार के लिए

  - Haidar Ali Aatish

na-fahmi apni parda hai deedaar ke liye
warna koi naqaab nahin yaar ke liye

noor-e-tajalli hai tire rukhsaar ke liye
aankhen mari kaleem hain deedaar ke liye

fidaye bahut us abroo-e-khandaar ke liye
choo rang ki kami nahin talwaar ke liye

qaul apna hai ye subha-o-zunnaar ke liye
do fande hain ye kaafir-o-deen-daar ke liye

lutf chaman hai bulbul gulzaar ke liye
kaifiyat-e-sharaab hai may-khwaar ke liye

seeri na hogi tishna-e-deedaar ke liye
paani nahin chah-e-zakqan-e-yaar ke liye

utni hi hai numood meri yaar ke liye
shohra hai jis qadar mare ashaar ke liye

dasht adam se aate hain baagh jahaan mein ham
be-daagh laala-o-gul be-khaar ke liye

shamshaad apne tire ko beche to leejie
is lala ro ki liptati dastaar ke liye

do aankhen chehre par nahin tere faqeer ke
do thekre hain bheek ke deedaar ke liye

surma lagaaya kijie aankhon mein meherbaan
ikseer ye suffoof hai beemaar ke liye

halka mein zulf-e-yaar ki moti piroiye
dandaan zaroor hain dahen-e-maar ke liye

guft-o-shunid mein hoon basar din bahaar ke
gul ke liye hai gosh zabaan khaar ke liye

be-yaar sar patkane se hilta hai ghar mera
rehta hai zalzala dar-o-deewar ke liye

baitha jo us ke saaya mein deewaana ho gaya
saaya pari ka hai tiri deewaar ke liye

bulbul hi ko bahaar ke jaane ka gham nahin
har berg haath malta hai gulzaar ke liye

ai shaah-e-husn zulf o rukh o gosh chashm o lab
kya kya ilaaqe hain tiri sarkaar ke liye

chaal abr ki chala jo gulistaan mein jhoom kar
taaoos ne qadam tire rahvaar ke liye

aaya jo dekhne tire husn-o-jamaal ko
pakda gaya vo ishq ke begaar ke liye

haajat nahin banaao ki ai naazneen tujhe
zewar hai saadgi tire rukhsaar ke liye

beemaar tandurust ho dekhe jo roye yaar
kya chaashni hai sharbat deedaar ke liye

is baadshaah-e-husn ki manzil mein chahiye
baal-e-huma ki par chati deewaar ke liye

sauda-e-zulf-e-yaar mein kaafir hua hoon mein
sumbul ke taar chaahiyein zunnar ke liye

zanjeer o tauq jo ki hai bazaar-e-dehr mein
sauda hai us pari ke khareedaar ke liye

choona banenge ba'd-e-fana apne ustukhwan
daulat saraaye yaar ki deewaar ke liye

maashooq ki zabaan se hai dushnaam dil pazir
sheereeni zahar hai tiri guftaar ke liye

jaan se aziz tar hai mare dil ko daagh ishq
mahtaab lahd ki shab-e-taar ke liye

vo mast khwaab chashm hai koi bala-e-bad
kya martaba hai fatna-e-bedaar ke liye

khilwat se anjuman ka kahaan yaar ko dimaagh
vo jins be-baha nahin bazaar ke liye

pahna hai jab se tu ne shab maah mein use
kya kya shagoofe phoolte hain haar ke liye

chakda hue hain soch ke raah-e-wafa mein paav
pahiye lagaaiye unhen raftaar ke liye

jo mushtari hai banda hai us khush-jamaal ka
yusuf bane ghulaam khareedaar ke liye

sone ke patte hovein har ik gul ke kaan mein
maqdoor ho jo bulbul gulzaar ke liye

gul-ha-e-zakhm se hoon shahaadat-talab nihaal
taufeeq-e-khair ho tiri talwaar ke liye

andher hai jo dam ki na is ke ho raushni
yusuf mera charaagh hai bazaar ke liye

ehsaan jo ibtida se hai aatish wahi hai aaj
kuchh intiha nahin karam-e-yaar ke liye

ना-फ़हमी अपनी पर्दा है दीदार के लिए
वर्ना कोई नक़ाब नहीं यार के लिए

नूर-ए-तजल्ली है तिरे रुख़्सार के लिए
आँखें मरी कलीम हैं दीदार के लिए

फ़िदये बहुत उस अबरू-ए-ख़मदार के लिए
चू रंग की कमी नहीं तलवार के लिए

क़ौल अपना है ये सुब्हा-ओ-ज़ुन्नार के लिए
दो फंदे हैं ये काफिर-ओ-दीं-दार के लिए

लुत्फ़ चमन है बुलबुल गुलज़ार के लिए
कैफ़ियत-ए-शराब है मय-ख़्वार के लिए

सेरी न होगी तिश्ना-ए-दीदार के लिए
पानी नहीं चह-ए-ज़क़न-ए-यार के लिए

उतनी ही है नुमूद मेरी यार के लिए
शोहरा है जिस क़दर मरे अशआर के लिए

दश्त अदम से आते हैं बाग़ जहाँ में हम
बे-दाग़ लाला-ओ-गुल बे-ख़ार के लिए

शमशाद अपने तिरे को बेचे तो लीजिए
इस लाला रो की लिपटती दस्तार के लिए

दो आँखें चेहरे पर नहीं तेरे फ़क़ीर के
दो ठेकरे हैं भीक के दीदार के लिए

सुर्मा लगाया कीजिए आँखों में मेहरबाँ
इक्सीर ये सुफ़ूफ़ है बीमार के लिए

हल्क़ा में ज़ुल्फ़-ए-यार की मोती पिरोइए
दंदाँ ज़रूर हैं दहन-ए-मार के लिए

गुफ़्त-ओ-शुनीद में हूँ बसर दिन बहार के
गुल के लिए है गोश ज़बाँ ख़ार के लिए

बे-यार सर पटकने से हिलता है घर मिरा
रहता है ज़लज़ला दर-ओ-दीवार के लिए

बैठा जो उस के साया में दीवाना हो गया
साया परी का है तिरी दीवार के लिए

बुलबुल ही को बहार के जाने का ग़म नहीं
हर बर्ग हाथ मलता है गुलज़ार के लिए

ऐ शाह-ए-हुस्न ज़ुल्फ़ ओ रुख़ ओ गोश चश्म ओ लब
क्या क्या इलाक़े हैं तिरी सरकार के लिए

चाल अब्र की चला जो गुलिस्ताँ में झूम कर
ताऊस ने क़दम तिरे रहवार के लिए

आया जो देखने तिरे हुस्न-ओ-जमाल को
पकड़ा गया वो इश्क़ के बेगार के लिए

हाजत नहीं बनाओ की ऐ नाज़नीं तुझे
ज़ेवर है सादगी तिरे रुख़्सार के लिए

बीमार तंदुरुस्त हो देखे जो रोए यार
क्या चाशनी है शर्बत दीदार के लिए

इस बादशाह-ए-हुस्न की मंज़िल में चाहिए
बाल-ए-हुमा की पर छती दीवार के लिए

सौदा-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार में काफ़िर हुआ हूँ में
सुम्बुल के तार चाहिएँ ज़ुन्नार के लिए

ज़ंजीर ओ तौक़ जो कि है बाज़ार-ए-दहर में
सौदा है उस परी के ख़रीदार के लिए

चूना बनेंगे ब'अद-ए-फ़ना अपने उस्तुख़्वाँ
दौलत सराए यार की दीवार के लिए

माशूक़ की ज़बान से है दुश्नाम दिल पज़ीर
शीरीनी ज़हर है तिरी गुफ़्तार के लिए

जान से अज़ीज़ तर है मरे दिल को दाग़ इश्क़
महताब लहद की शब-ए-तार के लिए

वो मस्त ख़्वाब चश्म है कोई बला-ए-बद
क्या मर्तबा है फ़त्ना-ए-बेदार के लिए

ख़ल्वत से अंजुमन का कहाँ यार को दिमाग़
वो जिंस बे-बहा नहीं बाज़ार के लिए

पहना है जब से तू ने शब माह में उसे
क्या क्या शगूफ़े फूलते हैं हार के लिए

छकड़ा हुए हैं सोच के राह-ए-वफ़ा में पावँ
पहिए लगाइए उन्हें रफ़्तार के लिए

जो मुश्तरी है बंदा है उस ख़ुश-जमाल का
यूसुफ़ बने ग़ुलाम ख़रीदार के लिए

सोने के पत्ते होवें हर इक गुल के कान में
मक़्दूर हो जो बुलबुल गुलज़ार के लिए

गुल-हा-ए-ज़ख़्म से हूँ शहादत-तलब निहाल
तौफ़ीक़-ए-ख़ैर हो तिरी तलवार के लिए

अंधेर है जो दम की न इस के हो रौशनी
यूसुफ़ मिरा चराग़ है बाज़ार के लिए

एहसाँ जो इब्तिदा से है आतिश वही है आज
कुछ इंतिहा नहीं करम-ए-यार के लिए

  - Haidar Ali Aatish

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari