tasavvur se kisi ke main ne ki hai guftugoo barson | तसव्वुर से किसी के मैं ने की है गुफ़्तुगू बरसों

  - Haidar Ali Aatish

tasavvur se kisi ke main ne ki hai guftugoo barson
rahi hai ek tasveer-e-khayali roo-b-roo barson

hua mehmaan aa kar raat bhar vo sham'-roo barson
raha raushan mere ghar ka charaagh-e-aarzoo barson

barabar jaan ke rakha hai us ko marte marte tak
hamaari qabr par roya karegi aarzoo barson

chaman mein ja ke bhule se main khasta-dil karaaha tha
kiya ki gul se bulbul shikwa-e-dard-e-guloo barson

agar main khaak bhi hoonga to aatish gard-baad-aasa
rakhegi mujh ko sar-gashta kisi ki justuju barson

तसव्वुर से किसी के मैं ने की है गुफ़्तुगू बरसों
रही है एक तस्वीर-ए-ख़याली रू-ब-रू बरसों

हुआ मेहमान आ कर रात भर वो शम्अ'-रू बरसों
रहा रौशन मिरे घर का चराग़-ए-आरज़ू बरसों

बराबर जान के रक्खा है उस को मरते मरते तक
हमारी क़ब्र पर रोया करेगी आरज़ू बरसों

चमन में जा के भूले से मैं ख़स्ता-दिल कराहा था
किया की गुल से बुलबुल शिकवा-ए-दर्द-ए-गुलू बरसों

अगर मैं ख़ाक भी हूँगा तो 'आतिश' गर्द-बाद-आसा
रखेगी मुझ को सर-गश्ता किसी की जुस्तुजू बरसों

  - Haidar Ali Aatish

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari