husn kis roz ham se saaf hua
gunah-e-ishq kab muaaf hua
le liya shukr kar ke saaqi se
dard is mein hua ki saaf hua
tegh-e-qaatil par apna khoon jam kar
makhmal-e-surkh ka ghilaaf hua
zahar parhez ho gaya mujh ko
dard darmaan se almuzaf hua
khaaksaari ki ho chuki meraaj
seena apna zameen-e-saaf hua
kamar-e-yaar ne dikhaai aankh
mardum-deeda khaal-e-naaf hua
vaada jhoota nakarda mard nahin
qaul se fe'al jab khilaaf hua
faatiha ko jo vo pari aayi
sang-e-qabr apna koh-e-qaaf hua
us kamar ke suboot mein aajiz
fikr kar kar ke mooshigaaf hua
rind-mashrab hoon mujh ko kya hove
mazhabon mein jo ikhtilaaf hua
vo dehan hoon na nikla harf-e-ghuroor
vo zabaan hoon na jis se laaf hua
gird is koocha ke fira aatish
haaji se kaaba ka tawaaf hua
हुस्न किस रोज़ हम से साफ़ हुआ
गुनह-ए-इश्क़ कब मुआफ़ हुआ
ले लिया शुक्र कर के साक़ी से
दर्द इस में हुआ कि साफ़ हुआ
तेग़-ए-क़ातिल पर अपना ख़ून जम कर
मख़मल-ए-सुर्ख़ का ग़िलाफ़ हुआ
ज़हर परहेज़ हो गया मुझ को
दर्द दरमाँ से अलमुज़ाफ़ हुआ
ख़ाकसारी की हो चुकी मेराज
सीना अपना ज़मीन-ए-साफ़ हुआ
कमर-ए-यार ने दिखाई आँख
मर्दुम-दीदा ख़ाल-ए-नाफ़ हुआ
वादा झूटा नकर्दा मर्द नहीं
क़ौल से फ़े'अल जब ख़िलाफ़ हुआ
फ़ातिहा को जो वो परी आई
संग-ए-क़ब्र अपना कोह-ए-क़ाफ़ हुआ
उस कमर के सुबूत में आजिज़
फ़िक्र कर कर के मूशिगाफ़ हुआ
रिंद-मशरब हूँ मुझ को क्या होवे
मज़हबों में जो इख़्तिलाफ़ हुआ
वो दहन हूँ न निकला हर्फ़-ए-ग़ुरूर
वो ज़बाँ हूँ न जिस से लाफ़ हुआ
गिर्द इस कूचा के फिरा 'आतिश'
हाजी से काबा का तवाफ़ हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish
our suggestion based on Haidar Ali Aatish
As you were reading Maikashi Shayari Shayari