rukh o zulf par jaan khoya kiya | रुख़ ओ ज़ुल्फ़ पर जान खोया किया

  - Haidar Ali Aatish

rukh o zulf par jaan khoya kiya
andhere ujaale mein roya kiya

hamesha likhe wasf-e-dandaan-e-yaar
qalam apna moti pirooya kiya

kahoon kya hui umr kyoon-kar basar
main jaaga kiya bakht soya kiya

rahi sabz be-fikr kisht-e-sukhan
na jota kiya main na boya kiya

brahman ko baaton ki hasrat rahi
khuda ne buton ko na goya kiya

maza gham ke khaane ka jis ko pada
vo ashkon se haath apne dhoya kiya

zankhadaan se aatish mohabbat rahi
kuein mein mujhe dil duboya kiya

रुख़ ओ ज़ुल्फ़ पर जान खोया किया
अँधेरे उजाले में रोया किया

हमेशा लिखे वस्फ़-ए-दंदान-ए-यार
क़लम अपना मोती पिरोया किया

कहूँ क्या हुई उम्र क्यूँ-कर बसर
मैं जागा किया बख़्त सोया किया

रही सब्ज़ बे-फ़िक्र किश्त-ए-सुख़न
न जोता किया मैं न बोया किया

बरहमन को बातों की हसरत रही
ख़ुदा ने बुतों को न गोया किया

मज़ा ग़म के खाने का जिस को पड़ा
वो अश्कों से हाथ अपने धोया किया

ज़नख़दाँ से 'आतिश' मोहब्बत रही
कुएँ में मुझे दिल डुबोया किया

  - Haidar Ali Aatish

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haidar Ali Aatish

As you were reading Shayari by Haidar Ali Aatish

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Ali Aatish

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari